kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na hoaisi bhi to kisi se mohabbat kabhi na howada zarur karte hain aate nahi kabhiphir ye bhi chahate hain shikayat kabhi na hoshamevisal bhi ye tagaful ye berukhiteri raza hai mujhko masarrat kabhi na hoahabab ne diye hain mujhe kis tarah farebmujhasa bhi koi sada tabiyat kabhi na holab to ye kah rahe hain ke uth, badh ke choom leaankhon ka ye ishara ke jurr’at kabhi na hodil chahata hai phir wohi fursat ke raat dinmujhko to tere khayal se fursat kabhi na hoPoet of the poem/ghazal or Nazam: Krishna Mohan

Your Comment Comment Head Icon

Login