Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay HainSo Us K Shehr Main Kuch Din Thehr K Dekhtay HainSuna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haalon SeSo Apnay Ap Ko Barbaad Kar K Dekhtay HainSuna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm’e’Naz UskiSo Hum B Uski Gali SE Guzar K Dekhtay HainSuna Hai Usko Bhi Hai Shair’o’Shairi Se ShaghafSo Hum Bhi Mojzay Apnay Hunar K Dekhtay HainSuna Hai Bolay To Baaton se Phool Jhartay HainYe Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhtay HainSuna Hai Raat Usay Chaand Takta Rehta HaiSitaray Baam’e’Falak Se Utar K Dekhtay HainSuna Hai Hashr Hain Uski Ghazaal Si AankhenSuna Hai Usko Hirann Dasht Bhar K Dekhtay HainSuna Hai Din Ko Usay Titliyan Satati HainSuna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhtay HainSuna Hai Raat Se Bharh Kar Hain Kakulain UskiSuna Hai Shaam Ko Sayee Guzar K Dekhtay HainSuna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat HaiSo Usko Surma Faroosh Aah Bhar K Dekhtay HainSuna Hai Uskay Laboon Se Gulaab Jaltay HainSo Hum Bahaar Par Ilzaam Dhar K Dekhtay HainSuna Hai Aaina Tamsaal Hai Jabeen UskiJo Sadaa Dil Hain Usay Ban Sanwar K Dekhtay HainSuna Hai Chashm’e’Tasawur Se Dasht’e’Imkaan MainPalang Zawiye Uski Kamar K Dekhtay HainSuna Hai Uskay Badan K Tarash Aisay HainK Phool Apni Qubain Qatar K Dekhtay HainWo Sar’o’Qad Hai Magar BeGul’e’Muraad NahiK Us Shajar Pe Shagofay Samar K Dekhtay HainBas Ik Nigaah Se Lut’ta Hai Qafila Dil KaSo Rah Rawa’e’Tamanna Bhi Dar K Dekhtay HainSuna Hai Uskay Shabistaan Se Moutasil Hai BehishtMakeen Udhar K Bhi Jalway Idhar K Dekhtay HainRukay To Gardishain Uska Tawaaf Karti HainChalay To Usko Zamanay Thehr K Dekhtay HainKisay Naseeb K Be Pair’han Usay DekhayKabhi Kabhi Dar’o’Deewar Ghar K Dekhtay HainKahaniyan Hio Sahi Sab Mubalaghay Hi SahiAgar Wo Khawab Hai Tabeer Kar K Dekhtay HainAb Uskay Shehr MAin Therain K Kouch Kar JainFARAZ Ao Sitaray Safar K Dekhtay Hain

Your Comment Comment Head Icon

Login