Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat Aana Abhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Ana Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain Agar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut Ana Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta Hoon Kay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut Ana Agar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay Sathi Aur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut Ana Meri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila Kar Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana

Your Comment Comment Head Icon

Login