Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaonga Ab agar aur Dua do gey to mar jaonga Pooch kar mera pata, waqt rayegaa na karo Main tu banjara hoon, kya janay kidhar jaonga! Har taraf dhunnd hai, jugnu hai na chiraag koi Kon pehchane ga, basti main agar jaonga Zindagi mai bhi musafir hoon teri kashti ka Tu jahan mujhse kahegi,utar jaonga Phool reh jayenge guldaan mein yaadoon ki nazar Main tu khushboo hoon, fizaon main bikhar jaonga

Your Comment Comment Head Icon

Login