To kya yeh taehh hai ke ab umar bhar nahin milna, To phir yeh umar bhi kyun, gar tum se nahin milna, Chalo zamane ki khaatir ye jabbar bhi sehh lain, Ke ab kabhi jo milain toot kar nahin milna, Yeh kon chupke se tanhaayion main kehta hai, Mere baghair sakoon umar bhar nahin milna, Juda to jab bhi huye dil ko yoon laga jaise, Ke ab gaye to kabhi laut kar nahin milna..

Your Comment Comment Head Icon

Login