chalo phir dhoond laayn ham usi masoom bachpan ko usi masoom khushiyon ko usi rangeen lamhon ko jahan gham ka pata na tha …jahan dukh ki samjh na thi jahan bas muskuraahat thi baharen hi baharen then k jab saawan barsta tha to us kagaz ki kashti ko banana or dabo dena buhat acha sa lagta tha or is duniya ka har cehra buhat sacha sa lagta tha CHALO PHIR DHOOND LAAEN HAM USI MASOOM BACHPAN KO

Your Comment Comment Head Icon

Login