yahan apni apni bari pr sab hansty hain sab roty hain dil to sab ka hota hai dukh b sab k hoty hain kujh askh dilon pe girty hain kujh miti main mill jaty hai kujh lafz ada ho jaty hain kujh honton hain sil jaty hain mana k adhury rehty hain par khawab to sab k hoty hain kuch kho kr b pa lety hain kujh log bht yad aty hain wo pal bhar ki narazgiyan aur maan b jana pal bahr main ab khud se jab b ruthon to kuch log boht yad aty hain
Like (0)Dislike (0)
Muddat se jis k waastey dil beqarar tha, Wo lout kr na aaya magr intzaar tha, Jo humsafar tha chhor gaya raah main mujhe, Mai phas gaya bhanwar main or wo darya k paar tha, Manzil qareeb aai to tum door ho gaye, Itna tou tum batao k ye kaisa pyar tha? ?? Deewar bana di ye kis ne dono k darmyan, Na wo sukon se betha na mujhko qarar tha, Ye baat umer bhar samajh na paya “mohsin” Kiun dil mera us wafadr ka talbgaar tha..!
Like (0)Dislike (0)
Jala k tu bhi Agar aasra Na de Mujko, Yeh khauf hai k HaWa phir bujha Na de Mujko Main is khayal Se mur mur k Dekhta hon usy, Bichar k woh bhi Kahein phir sada Na de Mujko. Bas is khayal se Shab bhar main So nahi sakti, K Khauf-e-Khwab-e-Guzishta Jaga na de Mujhko. Terey Baghair Teri tarhan Main zinda rahon, Yeh haosLa bhi Dua kar!khuda Na de Mujhko. Main is liye bhi Usey khud Manaon ga , Ke Mujhse Rothny Wala, Bhula na de MuJh ko
Like (0)Dislike (0)
Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaonga Ab agar aur Dua do gey to mar jaonga Pooch kar mera pata, waqt rayegaa na karo Main tu banjara hoon, kya janay kidhar jaonga! Har taraf dhunnd hai, jugnu hai na chiraag koi Kon pehchane ga, basti main agar jaonga Zindagi mai bhi musafir hoon teri kashti ka Tu jahan mujhse kahegi,utar jaonga Phool reh jayenge guldaan mein yaadoon ki nazar Main tu khushboo hoon, fizaon main bikhar jaonga
Like (0)Dislike (1)
Mein hun Aur tanhai hai Teri ye chand tasweer’ain Jo mujh sey baat’ein kerti hein Teri ye chand tehreer’ain Jin ko parh ker hum khod ko tasali’yan detay hein Aur kuch card Jinhei’n hum eid per parha kertay hein Aur Teray bhejay huay kuch gift Jinhei’n hum her waqt chuma kerat thay Agr tum khod aa ker dekho Mera kamra bas teri Yaad’on ki nishani hai Aur tum Kehtay ho key mujhey bhol jao. . !
Like (0)Dislike (0)
Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho, Sehra ki baahon mein chupi Aas b Tum ho, Tum yun to bohat door! bohat door ho Mujhse, Ehsaas ye hota hai Mere paas b Tum ho, Har Zakham ki Aaghosh mein ha dard Tumhara, Har dard mein taskeen ka Ehsaas b Tum ho, Kho jao to Veeran si ho jaati hein rahein, Mil jao to phir Jeenay ka Ehsaas b Tum ho, Likhta hoon to Tum hi utartay ho qalam se, Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho…!
Like (0)Dislike (0)
Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha Dahekti aag thi tanhayi thi fasana tha. Gumon ne baant liya hai mujhe yuon aapes main Ki jaise mai koi loota hua khazana tha. Ye kya ki chand he kadmon pe jhuk ke baith gaye Tumeh to saath mera door tek nibhana tha. Mujhe jo mere lahoo main dabo ke guzra hai Wo koi ger nahin yaar ek purana tha. Khud apne he haath se ‘Shahzaad’ usko kaat diya Ki jis taref pahle ye aashiyaana tha.
Like (0)Dislike (0)
Suno! Mujhe rona nhi aata. Mujhe khona nhi aata. K tum bin jeena mushkil hai. Jo dard tum dena chahte ho mujhe sehna nhi ata. Tum to reh Lo ge saath kisi aur k mgr. Main kya krun k mujhe RASTA badalna b nhi ata. Tum to waaqif ho Andaz.e.Guftugu k. Mujhe to baat krne ka salika b nhi ata. Tum to jeet jate ho Larr jhagar kr b. Dekho mujhe to Larna b nhi ata. Tum to khush reh lo ge mere bin. Dekho tumhare bin to mujhe Jeena b nhi aata!
Like (0)Dislike (0)
Kisi ko pany ki justuju me Thakan se khud ko nidhal rkhna Jb us se milna to kuch na kehna Fqt nazr me sawal rkhna Agr tmhen hy sukun ki khwahsh To srf itna khyal rkhna Nasib subh-e-uroj ho to Nazr me sham-e-zawal rkhna Ye sardion ki udas raten Or uski yadon ki chandni Khyal rkhna na bhigen ankhen Zabt-e-gham me kmal rkhna Jo tera ghm hy wo ghm hy mera Tri khushi me meri khushi hy Jo ho sky to khush hi rhna Mri khushi ka khyal rkhna:
Like (0)Dislike (0)
Kabhi itna woh chaahen ke mujhe paagal woh kar daalen, Kabhi nafrat ke daryaa main mujhe daakhal woh kar daalen, Kabhi sultaan bana daalen mujhe apni woh duniya ka, Kabhi to sheher main apne mujhe saayel woh kar daalen, Kabhi woh bepanah deedar ki daulat mujhe de dein, Kabhi parde ki deewaren karri haayal woh kar daalen, Kabhi apne woh pehluu main sadiyaan woh sulaate hain, Kabhi barsson ki neendon main ajab halchul woh kar daalen..
Like (0)Dislike (0)
Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon, Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon, Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon, Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon, Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon, Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon
Like (0)Dislike (0)
Dekha palatt k maine, hasrat ussay bi thi Hum jiss par mitt gaye thay, MUHABBAT ussay bhi thi Chup ho gaya tha dekh kar woh bhi idher udher Duniya se meri tarah shikayat ussay bhi thi Ye soch kar andheray ko galay se laga liya Raaton ko jaagnay ki aadat ussay bhi thi Woh roo parha tha mujh ko pareshan dekh kar Us din bhola k meri zaroorat ussay bhi thi Un pathron k saath nibhaani padi ussay Jin se nafrat mujhe thy, nafrat usay bhi thi
Like (0)Dislike (0)
Usey itna batana chahta hun, Kay ab us ko bhulana chahta hun, Jo maojien uth rahi hain dil kay andar, Inhien phir sey dabana chahta hun, Ay bachpan kay haseen lamhey thehar ja, Main wapis laot ana chahta hun, Main rahi hun andherey raston ka, Magar mash’al jalana chahta hun, Koi lut jaye na manzil sey pehley, Naya rasta dikhana chahta hun, Asad hayel hain jo merey rastey me pathar, Wo sab pathar hatana chahta hun. Rao Waheed Asad
Like (0)Dislike (0)
wo mra apna tha jo gheron ki trah lagta tha wo mujko mri dharkn mri jan lgta tha rehta tha wo hr pal mri yadon me ek pall ka bicharna b use bora lgta tha yaqen nhi ata k usne bewafai kr li jo shkhs muje ehl-e-wfa lgta tha ajb tha rop uska ajb thi ada uski hr lihaz se wo sb se juda lgta tha aj to mou pher hi lya usne kisko zinda rehne ki main wja lgta tha hmne jo pocha kia yad ate thy hm tm ko usne muskra ka keh dya k tu mra kia lgta tha
Like (0)Dislike (0)
Dil hai yun muztarib makano’n mein Machliya’n jaisy martabano’n mein Dhoop se dhoondtay hain raah-e-faraar Log sheeshay k saibano’n mein. . Teri aamad pe jaisy laut aya Wakt guzray huay zamano’n mein. . Dil dharakta hai har sitaray ka Aaj ki raat aasmano’n mein. . Zang aalood ho gaye jazbay Jam gaye harf, sard-khano’n mein. . Reshami log dhoondtay hain hum Sheher k aahni makano’n mein. . !
Like (0)Dislike (0)