Bus Tum Mughe Achi Lagti HO Tum Itni Sundar Ho Ke Nahi! Tumhe Aik Nazar Jo Dekhe Woh Sudh Budh Bhoole,Madhosh Rahe Bus Tum Mughe Achi Lagti Ho Tum Hans Do Tu Mausam Badle Tum Jago Tu Dunya Jage Jhilmil Jhilmil Manzar Hon Sub Aur Na Sooghe Kuch Aagey Bus Tum Ko Dekhein,Dekhte Hi Jayein Maloom Nahin Tum Itni Pyari tni Sundar Ho Ke Nahin Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Ye kasak dil ki dil me chupi reh gai, Zindagi me tumhari kami reh gai, Ek main ek tum ek dewar thi, Zindagi adhi adhi bati reh gai, Rat ki bheegi bheegi chatton ki tarha, Meri palkon pey thori nami reh gai, Merey ghar ki taraf dhoop ki peeth thi, Atey atey idhar chandni reh gai, Ret par anso’on ney terey naam ki, Jo kahani likhi be parhi reh gai. Bashir bad

Tu ne kaha ishq dhong hay Tujhe ishq ho khuda karay Tu nagar nagar phira karay Usay daikh ker tu ruk paray Wo nazar jhuka ker chala karay Tujhe hijer ki woh jahri lagay Tu milan k pull pe dua karay Teray khawb bikhrein toot ker Tu kirchi kirchi chuna karay Phir yakeen ho tujhy istrha k usy tasbeyan pe parha karay Main kahoun ishq tu dhong hay Tu nahi nahi kiya karay

Teri aankhon kr isharon ki, bohat yad aayi, Aaj pat-jharr mein, baharon ki bohat yad aayi, Jab larkhraata hua nikla, kabhi mehkhaney se, Teri baahon ke sahaaron ki, bohat yaad aayi, Jab bhi ponchhe hain, haathön se ye aansu apne, Teray daaman ke kinaron ki, bohat yaad aayi, Aaj iss ujray huye sheher me, mohsin humko, Apnay bichray huye yaaron ki, bohat yaad aayi..

wOhii Gardishien wOhii Paich O Kham Teray Baad Bhii wOhi hOsley Meray Dum Ba Dum Teray Baad Bhii Meray Baad Kitna Hii ROop TU Ney Badal Liya Main wOhi hOn Ab Bhi Teri Qasam Teray Baad Bhii TU Kisi Key Qalb e AarzOo Mein Tou Dhal Gya Main Na hO Saka Kabhi KhUd Mein Zum Teray Baad Bhi TU Chala Gya Sabhi QehqahOn Ko Samait Kar Meray Pass hAi Mera Zarf e Gham Teray Baad Bhii

“Zindgi dard k shoalon sy hawa daiti hy Muhabt Insan ko pagal bna daiti hy Bin mohabt k koi jee nhi skta Nafrat bashar ko andr sy jala daiti hy Kyun darty nhi log bd-duaon sy Bd-dua mazlom ki,asman hila deti hy Muhabt tery bs ki baat nhi mery yar Dunia dewanon ko dewaron main chunwa daiti hy Zindgi ka bharosa k?n kry Moat to Insan ko matti main mila daiti hy…

Ye zamane ki WAFAEN mere kaam ki nahi, Mujhe teri WAFA chahiye kisi aam ki nahi, Teri to ek muskurahat bhi anmol hai, Ye tamam muskurahaten kisi kaam ki nahi, Mujhe gham hai to tery chin jane ka hai, Parwah mujh per lage ilzaam ki nahi, Mere haath dekh kar najumi ye bola, Bohat si chahaten tere liye hain baqi lekin…? Tere haath mai koi bhi lakeer uske naam ki nahi….

Kaha us ne banayen barff ka ik khoobsurat ghar, Kaha mene december mein hawayen sansanti hain, Kaha us ne december ki chamakti chandni dekhi, Kaha mene tere baad mene kuch nahin dekha, Kaha us ne december mein teri yadain satati hain, Kaha mene meri jana mohabbat kab bicharti hai, Kaha usne teri yaadain jalati hain mera aanchal, Kaha mene december ko chalo phir se bulate hain..

Phir pyar kise tum kehte ho? Khamosh zuban k lafzo mein, Kuch poshida si baatein hain, In poshida si baaton mein, Kuch chahat ki barsaten hain, Kuch paaye bina kuch khoo dena, Ye pyar mein hum ne seekha hai, Suraj mein chand sitaron me, Har shey me tumhi ko dekha hai, Dharkan me bhi naghma ban ke, Sagar ki tarha tum behty ho, Ye pyar nahi to tum hi kaho, Phir pyar kise tum kehte ho.

Wafa isko nahi kehte Wafa kuch or hoti hai, Mohbbat karne walo ki Adaa kuch or hoti hai, Tumhe dekha tumhe chaha Tumhi se pyar kar bethe, Suno pathar ke dil walo Mohbbat aisi bhi hoti hai, Main chahe ghum ka mara hu Magar tumko na bhulunga, Ke deewano ke hotho pe Dua kuch or hoti hai, Tadap uthegi ye duniya Ke royega jab dil mera, Ke dil se fir jo nikalti hai, Badua kuch or hoti hai..

Kabhi kuch soch k likhna kabhi kuch soch k parhna ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna! kisi ka dilruba chehra aur us ki dill nasheen ankhen … k jis ko dekh k jeena usi k naam pe marna ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna! khayalon men bana lena kisi ka akks dhere se chura k rang sapnon k kisi ki ankh men bharna ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna !!

Itna to mere haal par ehsan kiya kar, Ankhon se mera dard pehchan liya kar, Kuch sath de safar me bohat thak gaya hon mein, Kuch pal hon tere saath meri maan liya kar, Afsaney Mohabat k adhurey na chor tu, Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan liya kar, Muddat hui is AAS par thehra hua hon mein, Bhulay se kabhi tu bhi mera naam liya kar Kr apni zat se wabasta tu mujhe, Ho kr Khafa muj se na meri jaan liya kar.

Zehen Mein Oske Khirkian Thee Bohat Per Fizaon Mein Aandhian Thee Bohat Wo Kisi Tour Bhee Na Khul Paaya Meri Baaton Mein Chaabian Thee Bohat Muskurati Theen Saari Deewaarain Aur Ghar Mein Udaasian Thee Bohat Teri Seerat Pasand Thee Warna Teri Soorat Ki Larkian Thee Bohat Khamooshi Oski Jaan Lewa Thee Aur Baaton Mein Talkhiaan Thee Bohat Bas Nigaahon Mein Gir Gaya Azar Warna Os Mein Bhee Khoobyan Thee Bohat

Yeh na samajh ke bichra hoon tou bhol geya hoon tujhe Tere hathon ki khushboo mere hathon mein aaj bhi hai Yeh aur baat hai majbooriyon ne nibhaney na di dosti Warna shaamil sachayi meri wafaon mein aaj bhi hai Mohabbat se barh ker tumse akeedat hai mere dost Yun buland sab doston mein mukaam tera aaj bhi hai Chahta hu atiq ke har lamha zindagi mein mohabbat ho Shaamil tu meri tamaam duyaaon mein aaj bhi hai

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua yun bhi kam amez tha “Mohsin” wo is shahar k logon main lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua