Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain Us dareeche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi sir jhukaye hue chup chaap guzar jate hain Raasta roke khari hai yahi uljhan kub se Koi pooche tu kahein kya ke kidhar jate hain Narm awaz bhali baatein muhazzab lehje Pehli barish mein hi yeh rung utar jate hain Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain

Your Comment Comment Head Icon

Login