Phool kya kantton main bhi khushbuu jaage, Tum apne khayaal badall kar to dekho..

Wo tere pass se chop chap guzar kaise gea, Dil be taab qiyamat na utha di tum ne.

Ajab nahin k ye rasam e hina bhi uth jae, Hanot kar k rakho dulhanon k pele hath.

Tofan e alam kion muje sahil pe utara, Me shor e talatam se harasan to nahin tha.

Saqi tujhe ik thori si takleef to ho gi, Saghar ko zara tham me kuch soch raha hon.

Wo muj se chahta kia tha muje khabar na hoi, Bakherta bhi raha aur sametata bhi raha.

Khabar to hai k maal e safar hai kia lakin, Kheal e tarak e safar umer bhar nahin ata.

Koi hindu koi muslim to koi eesaayi hai, Sab ne insaan na ban’ne ki qasam khayi hai..

maine yeh soch kar nhi boye khwaabon k darakht.. Kaun sehra me lage shajar ko pani dega ???

Main faqeeron se bhi karta hun Tijarat aksar, Jo ek paise me lakhon ki Duaaien dete hain…

Dara daiti hai jin ko inkalab e waqt ki pael, Unhen kion kar me samjhaon ki rakhs artaka kia hai.

Koi hath bhi na milae ga jo gale milo ge tapak se, Ye nae mizaj ka sheher hai zara fasale se mila karo.

Mein Apni Ankh Me Jab Us Ke Khuwab Sochta Hoo To Kushboon Se Mehakte Gulab Sochta Ho Ye Meri Taqat Parwaz Ka Hunar Hai Ke Mein Huroof Likhta Hoon Laikin Kitab Sochta Hoon

Nahin mere lie kia aur koi, Usi ka rasta kion daikhata hon.

qaffas ko torr de ya jan se guzar ja mjboriyun me jeena toheen e zndagi hy