aqs karne ka mila hukm jo dariyaon meinhum ne khush hoke bhanvar bandh liye paon meinun ko bhi hai kisi bhige hue manzar ke talashbund tak bo na sake jo kabhi saharaon meinae mere hamsafaron tumbhi thakehare hodhup ke tum to milavat na karo chaon meinjo bhi aata hai batata hai naya koi ilajbaat na jaye tera bimar masihaon meinhausla kis mein hai yusuf ke kharidari kaab to mahangai ke charche hai zulaikhaon meinmoderator’s note:references to yusuf and zulaikha can befound in various ghazals and nazms yusuf (joseph), son ofyaqub (jacob) was a very handsome man he was sold inmarket of egypt where he was bought by zulaikha zulaikhamarried him after her husband diedjis barahaman ne kaha hai ke ye saal acha haius ko dafnao mere hath ke rekhaon meinmoderator’s note:the first misra (line) is obviously a reference to ghalib’s“ik barhamin ne kaha hai ki ye saal acha hai”wo khuda hai kisi tute hue dil mein hogamasjidon mein use dhundho na kalisaon meinhum ko aapas mein muhabbat nahi karne deteik yahi aib hai is shahar ke danaon meinmujh se karte hain “qateel” is liye kuch log hasadkyon mere sher hain maqabul hasinaon mein  Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai

Your Comment Comment Head Icon

Login