Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,apne maathe ki woh tehreer mita li meine,har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,teri chaahat mein to umr bita li meine,mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,teri yaadon se har ek saans saja li meine,jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine…

Dard-e-Dill Ki Kahaani bhi woh Khub Likhta haiKahin Par Bewafa to Kahin mujhe Mehboob Likhta haiKuchh to Rasm-e-Wafa Nibha Raha hai WohHar ek Saf-e-Kahaani me Woh Mujhe Majmoo’n Likhta haiLafzo ki Justazu Mere sang beete Lamho se leta haiSiyaahi Mere Ashq ko Banakar woh Har Lamha Likhta haiKashish Kyoun Naa ho Uski Daastaa’n-e-Dard Me yaarojab bhi Zikr Khud Kaa aata hai woh Khud ko Wafa likhta haiTahreerei’n Jhoot ki Sajaayi hai aaj Usne Apne Chehre ParKhud Ko Dard Ki Mishaa’l aur kahin Majboor Likhta hai...

Dil Ke Dariyaa Ko Kisii Roz Utar Jaanaa HaiItanaa Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jaanaa HaiUs Tak Aatii Hai To Har Chiiz Thahar Jaatii HaiJaise Paanaa Hii Use Asl Men Mar Jaanaa HaiBol Ai Shaam-E-Safar Rang-E-Rihaa_Ii Kyaa HaiDil Ko Rukanaa Hai Ki Taaron Men Thahar Jaanaa HaiKaun Ubharate Hue Mahataab Kaa Rastaa RokeUs Ko Har Taur Suu-E-Dasht-E-Sahar Jaanaa HaiMain Khilaa Huun To Isii Khaak Men Milanaa Hai MujheVo To Khushbuu Hai Use Agale Nagar Jaanaa HaiVo Tere Husn Kaa Jaaduu Ho Ke Meraa Gam-E-DilHar Musaafir Ko Isii Ghaat Utar Jaanaa Hai

Dard Dil Se Nikal Raha Hei KyunMere Jeevan Ki Hai,Ek Abhilasha Poori Karna Chahu, Mai Sab Ki AashaSabke Sapno Ko Ker SakaarLaau Unke Jeevan Main Khushiyao.N Ki BahaarHer Insaan Ko Sahii Raah DikhauBurayee Se Sab Ko BachauBanna Hai Mujhe Safal InsaanJismein Ho Jeevan Ka Sara GyaanBade, Bujurk Ka Karu SammaanKabhi Na Ho, Mere Jeevan Ka ApmaanGurujano Ko Samman, Choto.N Ko PyaarYahii Ho Mere Jeevan Ka SaarAtyachaar, Ghotala Ka Kare AnthKerke Her Insaan Ki SevaMite Sab Ke Mann Se, Swarth Nafrath Ki BhavnaYahii Ho Hum Sab Ke Jeevan Ki Abhilasha

Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya,Guzri Mohobat Kaa Har Lamha Yaad Aaya…Hui Mud_dat Aaj Tak Mujhme Kuchh Nahii Badla,Mere Khayaal Mein Teri Adaaon Par Naya Rang Aaya…Teri Yaadon Kii Aahat Ko Batorne Mein Hoon Juta,Bas Tera Karam Hai Yeh Jo Khud Ko Naa Samjha Paaya…Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya..

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilla Rakhain GainDil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain GainNa Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm UnhainDard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain GainJaan Dey Daingain Agar Aik Ishaara Kar DeyHam Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain GainSab Hata Daingain Teri Raah Ki RukawatainHamdam Ghar K Darwazay Ko Her Waqt Khula Rakhain GainUnki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain GainUnn Ki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain GainToot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki HussainiEk Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain..

Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakayhum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakayWoh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hainhum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakayChah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakeenikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakayQaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hainjo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakayHazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkaymagar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakayjhijak jhijak ker nazar un ke dil tak aa pohanchiiyeh woh safar hai ke Hussaini jise bhula na sakay.

Aye Mohobbat Tu Meri Mohobbat Ka Khyal Rakhna,,,,,
Main Rahu Na Rahu Tu Use Sambhal Rakhna,,,,
Bahut Nadan Hai Wo Meri Jaan -Ae - Wafa,,,,
Tu Uski Hasi Ko Hamesa Bar-karar Rakhna,,,,
Naa Gire Aansu Ki Ek Bund Bhi Uski Aankho Se,,,,
Tu Motiyo Ki Tarah Uske Aansu Ko Sambhal Rakhna,,,,
Jab Bhi Wo Roye Meri Yaad Me To Use Itna Kehna,,,,
Ki Main Laut Aaunga Bas Mujpe Thora Aitbaar Rakhna,,,,
Aur Jab Tak Main Laut Naa Aau Tab Tak Aye Mahobbat,,,,
Tu Meri Mahobbat Kaa Khyal Rakhna....!!!

Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai!Jaane ye kaun sa mausam haiNa sardiyon ki dhoop haiNa din yahan par kam haiNa thand ka koi bhi roop haiNa mitti ki khushbu haiNa bheege yauvan mein hulchulNa baadalon mein guftagu haiNa chai pakodi ka hi koi palDhoop bhi chilchilaati nahiNa chaandni ka koi aalamNa jharnon ki aarzoo kahinNa ye chhuttiyon ka mausamSarson bhi nahi dikhte hainPatang asma me ab tak na naacha haiNaye patte bhi kahin na ugte hainNa muskaraata koi bhi raasta haiJaane ye kaun sa mausam haiTum paas hokar bhi itne door hoHar baat shuru hone se pehle khatm haiKaam ho na ho, masroof ho.

Suna Hai Is Jahan Me Zindagi Ki Qehat-Saali Hai
Yahan Do Chaar Din Jeene Ka Aksar Zikar Hota Hai
Yahan Har Cheez Faani Hai Sabhi Ko Maut Aani Hai
Yahan Izhaar Kya Karna Yahan Par Pyar Kya Karna
Magar Kuch Yun Bhi Sunta Hun K Aisa Ek Jahan Ho Ga
K Jis Me Maut Aane Ka Koi Dharka Nahi Hoga
Hayat-e-Jaan Vidaan K Sab Wahan Asbaab Rakhe Hain
Ye Mera Tum Se Wada Hai Agar Dono Wahan Mil Gaye
Wahin Iqraar Kar Lein Ge Wahin Izhaar Kar Lein Ge
Wahin Phir Pyar Kar Lein Ge Wahin Phir Pyar Kar Lein Ge...

Marne k baad bhi na, sone diya hame…apne kiye khata pe na rone diya hame …..Haste rahe tum,jab ro raha the hum teri bewafai me…agaaz ka yahi anjaam hota hai es khudai me…..Jab se dil lagaya ansu bahate chale gaye…teri judai me gam ko chipate chale gaye…..Ab dard he bacha tha,lut cheke the hum…es jalim duniya ne kiya es kadar situm…..kar li humne khud kushi,teri khushi k vaste…bhula diya tujhe,chod diya tere raste…..Mar k bhi mila na chain, jo tum kabr par aa gaye…khata bus etna kiya ‘Aansu’ baha gaye…..!!

Meri teri nigah mein jo lakh intazar hainjo mere tere tan badan mein lakh dil figar hainjo meri teri ungaliyon ke behisi se sab qalam nazar hainjo mere tere shahar ke har ik gali meinmere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazar hainjo meri teri raat ke sitare zakhm zakhm hainjo meri teri subah ke gulab chak chak hainye zakhm sare be-dava ye chak sare be-rafukisi pe rakh chand ke kisi pe os ka lahuye hain bhi ya nahi bataye hai ki mahaz jal haimere tumhare ankabut-e-vaham ka buna huajo hai to is ka kya karennahi hai to bhi kya karenbata, bata, bata, bataPoet of the poem or ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz

Ek bewafa ki yaad mujhko pal pal aa rahi haiAankho me meri anshu hai aur jaan ja rahi haiMukho to mile hai sirf dard aur aanshuuski har kasam ab mujhko yaaar aa rahi haiTeh waqt ki hai bandish ta kismat me likh haiTqdeer meri ban ban ke palti ja rahi haiKahin mahfile sajti kahin khusiyon ke hai nagmeGairon ke sath wo bewafa khusiyan mana rahi haiMilke juda hona yeh ab kissa hai puranaIss bedard zamane me wafa bikti ja rahi haiMujhko mila hai dard kitna kisko hai pata ?Iss dard ki dil me ab jalti ja rahi haiJo gam sahe hai maine ab kitne sah rahe hai“SAGAR” ki har gazal aaj rang la rahi hai.

Teri kitaab-e-hayat meiN, meri aukat ik safaa hai,Rangin fasaanon mein dabii kahin meri wafa hai.(Kitaab-e-hayat=Book of life, Safa=Page)Shikayat us likhne wale se hai, tujhse koi gila nahi,Jo shayad is kahani mein mere kirdar se khafa hai.Kitaab-e-muqaddas hai mera pyaar, par haar mili,Isme koi fasl hi nahi jiska nam nuksan ya nafa hai.(Kitaab-e-muqaddas=Bible, Fasl=Chapter)Unke diid par daffatan nikal gaya “ya mere khuda”Wo ise agar mante hain meri jafa to meri jafa hai.(Diid=Sight, Daffatan=Suddenly)Taariikh jaanta hai talwaar ki aziyaten kalam par,Haari hai shamshiir, kalam ki fateh har dafaa hai..

Thukra ke usne mujhko,kaha ki muskuraao!Maine has diya,aakhir sawal uski khushi ka tha.Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.——————————-aaj us ko bekhabar socha bohatkese kaatein ge safar socha bohataaj kal hum us ko soochein ge nahiaaj tanha beth ker socha bohat..——————————-Aaj bahut din baad suni hai baarish ki awaazAaj bohut din baad kisi manzar ne rasta roka haiRhim jhim ka malboos pehan kar yaad kissi ki aaee haiAaj bahut din baad achanak aankh yun he bhar aaee hai...