Be-Khudi Be-Sabab Nahi n Ghalib ; Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai

Tu Mere Pyaar Ka Imtehan Lete Lete Thak Jayogi; Aur Hum Izhare Mohabbat Karte Karte Fanah Ho Jayenge

Jeete The Kabhi Hum Bhi Shaan Se; Mehek Uthi Thi Fiza Kisi Ke Naam Se; Guzre Hain Hum Kuchh Aise Makam Se; Ke Nafrat Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaye; Saans Bhi Lo To Khushbu Uski Hi Aaye; Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Cha Jaye; Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye

Hai Ishq Bhi Junoon Bhi Masti Bhi Josh-e-Khoon Bhi; Kahin Dil Mein Dard Kahin Aah Sard Kahin Rang Zard; Hai Yun Bhi Aur Yun Bhi; Lo Phir Basant Aayi Phoolon Mein Rang Layi

Hai Ishq Ki Manzil Mein Haal Ke Jese; Lutt Jaye Kahin Raah Mein Samaan Kisi Ka

Hosh e Haalat Pe Kaboo To Kar Liya Maine; Unhe Dekhke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga

Kya Khabar Thi Hame Ke Mohabbat Ho Jaye Gi; Hume To Bas Tera Muskurana Acha Laga Tha

Aafat To Hai Wo Naaz Bhi Andaaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Wo Ada Aur Hi Kuch Hai

ISHQ Wahi Hai Jo Ho Ek TarfaIZHAR E Ishq To Khwahish Ban Jaati HaiHAI Agar Ishq To Aankho Mein DekhoZUBAN Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai..

Chahat Mein Dubne Ka Haq Sabhi Ko Hai; Par Duniya Ke Samne Inkar Sabhi Ko Hai; Beshak Koi Chupa Le Dil Kee Gehraiyon Mein; Par Kisi Na Kisi Se To Pyar Sabhi Ko Hai

Sapne The Un Sapno Ke Aap Sahil Hue; Na Jane Kaise Hum Aapki Mohabbat Ke Kabil Hue; Karazdar Rahenge Hum Us Haseen Pal Ke; Jis Pal Aap Hamari Choti Si Duniya Mein Shamil Hue

Har Chand Sitare Mein Teri Tasveer Nazar Aayi; Phir Is Tanha Raat Mein Teri Yaad Chali Aayi; Door Tujhse Rehkar Ye Saans Tham Chuki Thi; Jo Kahin Naam Tera Aaya To Saans Chali Aayi

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi; Jab Unki Nigahein Hamari Nigahon Ke Saath Hongi; Baithe Hain Hum Uss Raat Ke Intezar Mein; Jab Unke Hontho Kee Surkhiya Hamare Hontho Ke Saath Hongi

Nazar Se Nazar Kee Mulaqat Dekhi Hai; Pyaar Mein Hote Hue Teeron Kee Barsaat Dekhi Hai; Yun To Lakhon Dekhe Hain Humne Dil Lagane Wale; Par Teri Chahat Mein Humne Baat Koi Khaas Dekhi Hai