Kabhi Alfaaz Bhool Jaun Kabhi Khyaal Bhool Jaun; Tujhe Is Kadar Chahun Ki Apni Saans Bhool Jaun; Uth Kar Tere Paas Se Jo Main Chal Dun; To Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun

Tujhe Inkar Hai Mujse Mujhe Iqraar Hai Tujhse; Tu Khafa Hai Mujse Mujhe Chahat Hai Tujhse; Tu Mayoos Hai Mujhse Mujhe Khushi Hai Tujhse; Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyaar Hai Tujhse

Meri Yaadon Mein Tum Ho Ya Mujh Mein Hi Tum Ho; Mere Khwabon Mein Tum Ho Ya Mera Khwab Hi Tum Ho; Dil Mera Dhadak Ke Puche Baar-Baar Ek Hi Baat; Meri Jaan Mein Tum Ho Ya Meri Jaan Hi Tum Ho

Log Samajthe Hain Ki Humne Tumhein Bhula Rakha Hai; Ye Nahi Jaante Ki Kahin Dil Mein Chupa Rakha Hai; Dekh Na Le Koi Meri Aankhon Mein Tasvir Tumhari; Humne Apni Palkon Ko Is Kadar Jhuka Rakha Hai

Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betaab; Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-e-Jigar Hone Tak Translation: Love demands endurance while desire is consuming What should be my state untill obsession devours patience

Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak; Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak; Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sad Kaam-e-Nihang; Dekhein Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hone Tak Translation: A sigh requires a lifetime to take effect Who lives to reach the source of your journey The gaping mouths of a hundred crocodiles form netted traps in each wave Consider the labour within the sea-change of a raindrop to a pearl

Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki SuntaKaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai

Aahista Aahista Dil Mein Sama Gaye TumIshq Se Ishq Karna Sikha Gaye Tum

Pyar Karne Wale Hi Darr JayeDekh Kar Is Kitab-E-Dil Ko Itna Na Daagdar Kijiye

Bach Jaye Jawani Mein Jo Duniya Kee Hawa Se; Hota Hai Farishta Koi Insaan Nahi Hota

Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,

Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar; Kitni Khamosh Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hai

Khusro Baazi Prem Ki Main Khelun Pi Ke Sung; Jeet Gayi To Piya Moray Haari Pi Kay Sung

Ab Tak To Khair Teri Tamanna Mein Kat Gayi; Tu Mil Geya To Sochta Hun Kya Karun Ga Main

Pyaar Mein Sabr Ka Imtihan To Dekho; Wo Meri Baahon Mein So Gaye Kisi Aur Ke Liye Rote Rote