Ishq Khuda Hai Aur Mera Ishq Ho TumKhuda Mere Sath Hai Aur Uski Khudai Ho Tum

Wo Jiske Saamne Humne Ye Sar Jhukaya Hai; Khuda Nahi Hai Par Humne Usko Khuda Banaya Hai

Tasveer Me Khayaal Hona To Lazmee Saa Hai; Magar Ek Tasveer Hai Jo Khayaalon Me Bani Hai

Dil Dard Karta Hai Jis Ki Dava Tum HoAgar Qaymaat Ka Dar Na Hota To Keh Dete Khuda Tum Ho

Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq; Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai

Uss Ki Mohabbat Ka Silsila Bhi Kya Ajeeb Tha; Apna Bhi Na Banaya Aur Kissi Aur Ka Bhi Hone Na Diya

Udhar Se Chand Tum Dekho Idhar Se Chand Hum Dekhen; Nigaahein Yun Takrayein Ki Do Dilon Ki Eid Ho Jaye

Mere Humdum, Mere Humnawa, Pyar Tera, Meri ZindagiKhuda Ke Baad, Main Karun Dil Se Bas Teri Hi Bandagi !!

Wo Mujhse Door Ho Kar Khush Hein To Khush Hi Rehne Do; Mujhe Apni Chahat Se Zyada Uski Muskrahat Pasand Hai

Tu Mera Sapna Mera Armaan Hai; Par Shayad Tu Apni Ahmiyat Se Anjaan Hai; Mujhse Kabhi Bhi Ruth Mat Jana; Kyonki Meri Duniya Tere Bina Veeraan Hai

Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare; Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare; Jaan Ban Ke Utar Ja Uski Rooh Mein; Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare

Is Ishq Mein Wo Misaal Banayenge Hum; Aankhein Band Karoge To Nazar Aayenge Hum; Bhar Denge Itna Pyaar Aapke Dil Mein Ki; Sab Se Pehle Yaad Aayenge Hum

Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai; Dil Na Chah Kar Bhi Khamosh Reh Jata Hai; Koi Sab Kuch Keh Kar Pyaar Jatata Hai; To Koi Kuch Na Keh Kar Pyaar Nibhata Hai

Hote Agar Paas To Koi Shararat Karte; Lekar Tumhein Baahon Mein Mohabbat Karte; Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumar; Apni Khoyi Hui Neendo Kee Shikayat Karte

Rakhna Mera Khayal Abb Umar Bhar Ke Liye; Lo Maine Apne Aap Ko Teri Amanat Kar Diya; Kya Khub Tha Humari Mohabbat Ka Andaz-e-Katil; Zehar Bhi Diya Usne Toh Hoton Pe Laga Ka