Teri jindgi ko karib se dekha hai maineBachpan bhi tere sath gujara hai maineTeri khatir bahut hi julm saha haiTere hi isharon par Mohababat badhai hai maineBas jara si muskurahaton ki khatirApne armano ki bali chadhayi hai maineDulhan tumhen apne banane khatirTere hi bagal main ek ghar banaya hai maineTere samne pyar ke ijhar ke liyeBahut hi khud ko taiyar kiya hai maineBahut khwahisho ko lekar ji raha hai ‘Avinash’Inhi khwahisho ko pura karne ki socha hai maine..

Koi Ghazal suna ker kya karna,
Yoon baat barrha kr kya karna,
Tum mere thay tum mere hoo,
Duniya koo bata kar kya karna?
Tum ehad nibhaoo chaahat say,
Koi rasm Nibha kar kya krna?
Tum khafa bhi ache lagty hoo,
Phir tum koo mana kar kya karna?
Tere dar py aa k bethay hai,
Ab ghar bhi ja ker kya krna?
Din yaad say acha guzary ga,
Pir tum koo bhula kar kya krna.

Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerteBewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerteUnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh haigila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerteGali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hairuka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerteUnhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un sesuna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerteHumain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hainraha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte.

Mohabbat main karne laga hoonUljhano me jine laga hoonDiwana to main tha nahi,lekinTera dewana banne laga hoonPyaar ka safar karne chla hoonDil ki duniya basane chla hoonMaine khwaab abh tak na dekhe theTujhe dekh ke khwaabo me jine laga hoonKabhi bikharta ja raha hoonTo Kabhi sawarta ja raha hoonQatal to mujhe hona nahi tha,lekinTeri nigahoon se hue ja raha hoonUnse dil lagaye behta hoonUnhe apna banaye behta hoonBas darr raha hoon yehi soch-soch keAaj unse ijhar karne ja raha hoon

Ye kesa pyaar he jo mere dilme bas gaya,Mujh ko ap ni zaat se jese alg sa kar gayaDam ghutaa jata he mera tu toJa ke aye naa yaad teri aakeSaajan mere dil se jaye na kho gayaSab meri khushion ka wo karwaan tereJaane se gaya wo sath mere jo thaTu na aya loot ke qun yaadDil se jaye na aaja ab to ek paal bhiTere bin jiyaa jaye naaYaad teri dil se mere ab to aake jaye naDam ghutaa jata he mera qun to jake aye naGut raha he meraa dam tu toJake aye na deed ki hasraat me tere,jaan meri, jaye naa.

Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte theYaad unhe din-raat kiya karte theAb un raahon se guzra nahi jaataJahan baith kar unka intzaar kiya karte the.______Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi KartaAur Main Zehmat-e-Faryad Bhi Nahi KartaKabhi Kabhi Wo Mujhe Itna Yaad Aata Hai dostonK Main Zid Mein Aa Kar Usey Yaad Bhi Nahi Karta..______Apni to mohabbat ki itni kahani hai,Tooti hui kashti or thera hua pani hai,Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai….

Mohabbat Dukh Nahi Deti
~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~
Agar Be-gharz Ho Jazba
Agar Manzil baney Rasta

Agar Chahat k Pardey Main
Koi Lalach Na Ho Lipta
Agar Tum Sonp Do Sab Kuch
Silay Main Kuch Na Maango
Agar Sauda Na Ho Koi
Mohabbat Bas Mohabbat Ho
Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hy
Kabhi Dukh Nahi Deti
~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~
Like · Comment

Maine kaha mere lye B dua kya kro
Us ne kaha is ki na fikar kya kro
Me ne kaha mere zehan pe rehta hai bojh sa
Maine kaha tere khwab jaga dete hen
Us ne kaha raaton ko socha na kro
Me ne kaha raaton ko neend nhi aati he
Us ne kaha sone ki koshish to kya kro
Me ne kaha dil me teri yaaden hen
Usne kaha k dil ko samjhaya kro
Me ne kaha tere milne ki umeed hai kya
Usne kaha qismat pe bharosa kya kro

Chalte rahe shaan se kabi dagha nahi kya
Waqt ne waqt se kabi juda nahi kya
Tabiyat mila seher se seher tak is kadar
Usne faqat waqt ka haq ada nahi kya
Milna tha mukaddar me arsh se farsh tak
Ishteyaq se usne khud ko raza nahi kya
Wo bahut aziz hai mere kyun kare aisa fitna
Bakhuda usne mujhe kabhi juda nahi kya
Jor dya Logo ne muje baghawat ki dor se
Har simt yahi kahte rahe koi khata nahi kya

Zindagi Ka Pehla Pyar Kaun Bhulata Hai,
Yeh Pehli Baar Hota Hai,
Jab Koi Kisi Ko Khud Se Badhkar Chahta Hai,
Uski Pasand, Uski Khwahish,
Mien Khud Ko Bhul Jaata Hai,
Akele Mein Uska Naam Likh-Likh Mitata Hai,
Baat Karne Se Pehle Sochta Hai Kya Kehna Hai,
Baat Hone Ke Baad Phir Bhi Kuch Reh Jaata Hai,
Hota Hai Khubsurat Kitna Pehla Pyar,
Naa Jaane Kyun Aksar Adhura Reh Jaata Hai
Pehla pYAR....!!!

Ek too hi hai meri “Friend”Girl friend mai kiya janu.Kise hota hai “pyar” bhala isko mai kiya janu.Mai to tere pyar ki khusboo dil se hi pahchanu.Teri muhabbat aisi hai phoolo mai jaise gulabMai kitna bhi karun tang rahti hai hardam paas.Jab bhi karta hoon dil se yaadTurant aa jati hai miss call ke saathSapne mai roz aati hai mujhko bahut satati haiTera satana pyar jatana karta hai pagal diwanaMere gale se lipat kar too karti hai ji bhar kar pyarTujh jaisi koi nahi jo karti hai itna pyar.

Mohabbat ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehr Bhar se to Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salamat Ab Bhi
Kon Kehta Hai Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat ye Hai k koi Toot k Chahay to Sahi
…Her kisi se to Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
Ankh Kehti Hai Kahin Aur Chalay Jayen Hum
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti
Loh-e-Dil par Yehi Tehrer Likhi hay Mohsin
Ishq Walon ko Naseehat Nahi Ki Ja Sakti

Ek Be-Qarari mai Doob kerEk Masti main Jhoom kerMohabbat ne apna Izhaar chaha!Zindgi mai pehli baarDil ne kisi ko Dil se chaha!Khawab bane Aarzoo ki tarhaUmeed bani Zindgi ki tarhaHer Ehsaas ne Iqraar chaha!Zindgi mai pehli baarDil ne kisi ko Dil se chaha!Aitbaar ka hath thaam kerYadon ko Hamrah le kerIs Masoom ne be-ikhtiar chaha!Zindgi mai pehli baarDil ne kisi ko Dil se chaha!Ek Khoobsurat Etminaan ki tarhaTum hoye Hamari Duaa ki tarhaHum ne Tumhain Toot ker chaha!Zindgi mai pehli baarDil ne kisi ko Dil se chaha!

Wo MoHaBbAT Ka KhUdA Hai MaLooM Na ThA
SajDa UsKo Bhi RaWa Hai MuJhe MaLooM Na ThA
Wo BiCharNe LagA MuJh Se To Anaa TooT GaYi
RooT JaNa Hi AdA Hai MujHe MaLooM Na ThA
SuBha HoNe Pe Bhi AanKhoN Se AnDheRa Na GaYa
RaaT SuRaj Se KhAFa Hai MuJhe MaLoom Na ThA
RooTh JaNe PaR MaNaNA UsE AaTa Hi Nahi
YeH B MeRi Hi KhAtA Hai MuJhe MaLooM Na ThA
ZiNdaGi JurM-E-AnAsaR Hai ZaMaNe MaIn WaSi
SaNs LeNa Bhi SaZa Hai MuJHe MaLoom NaHI tHA

Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein
Kyun dil dene ki waje hoti hein
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai
Kyun iss dil ko samjana padta hai
Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota
Kyun sabko ye manzoor nahin hota
Kyun dil se dil nahin milta
Kyun pyaar ka phool nahin khilta
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata
Dil mein kya hai ye keh nahin pata
Kya dil dene ki yahi saza hai
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai