Ik Bar Hi Chahat Ki Saza Kyo Nahi DaiteZinda Hoon To Marne Ki Dua Kyo Nahi Daite

Ye Khushk Shaakh Na Sarsabz Ho Saki UsneMujhe Gale Se Lagaya Palak Se Chooma Bhi

Kitni Sachhayi Se Mujhse Zindagi Ne Keh DiyaTu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega

Chirag Pani Mein Maujo Se Puchte HongeVoh Kaun Log Hain Jo Kashtiyan Dubote Hain

Main Der Tak Tujhe Khud Hi Na Rokta LekinJis Ada Se Too Utha Hai Usi Ka Rona Hai

Sab Samjhate Hain Vahi Raat Ki Kismat HogaJo Sitara Ki Bulandi Pe Nazar Aata Hai

Apne Kaatil Bhi Usi Roz Se SharmindaHum Bhi Khamosh Bahut Apni Zubaan Rakhe Hain

Dil Kabhi Ret Ka Sahil Nahi Hone DeteHume Mehfooz Vo Kadmo Ke Nishaan Rakhe Hain

Maine Din Raat Khuda Se Ye Dua Maangi ThiKoi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Tu Aaye

Chamkate Chand Sitaron Ka Kya Bharosa HaiZameen Ke Chaand Use Aasman Mein Rakhna

Tu Jaanta Nahi Meri Chahat Ajeeb HaiMujhko Mana Raha Hai, Kabhi Khud Khafa Bhi Ho

Waqt Yaksaan Nhe Rehta Kabhi Sun Lo,Khud Bhi Ro Party Hain Auron Ko Hansany Waly.

Aisay He Nahi Roz Falak Daikhta Tuj KoChehra Hai Tera Chand Sitaray Teri Aankhain

Kabhi To Sham Dhale Apne Ghar Gaye HoteKisi Ki Aankh Mein Rehkar Sanvar Gaye Hote

Aansuo’n Se Bhar Gaya Daaman MeraHaath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi