Kisiko Yun Rulaya Nahi Karte,Jhoote Khwab Kisiko Dikhaya Nahi Karte,Agar Koi Aapki Zindagi Main Khaas Nahi Hai,To Usse Reh-Reh Kar Ye Ehsaas Dilaya Nahi Karte.

Yeh Wafa Ka Silsila Hai To, Koi Baat NahiYeh Dard Tune Diya Hai To, Koi Baat NahiYeh Bahut Hai Ke Tu Dekh Rhi Hai Kinaare SeMain Doob Rha Hoon To, Koi Baat Nahi.

Kuchh Rishte Upar wala Banata Hai
Kuchh Rishte Log Banaate Hain
Woh Log Bahut Khaas Hote Hain
Jo Bina Rishte, Rishta Nibhaate Hai

Pyaar karo toh dhokha mat dena,
Pyar ko aansu ka tohfa mat dena
Dil se roye koi tumhe yaad kar ke
Aisa kabhi kisi ko moka mat dena

Wo Aaj Phir Mile Aankhein Chaar HuiDil Se Dil Ki Phir Ek Baar Takraar HuiKehne Lage Kahan Hain Mohabbat TeriHamne Kaha Vahin Dafan Hai Jahan Aapki Duniyaa Aabaad Hui.

Wo nadiya nahi aansu the humare,
jinpar wo kashti chalate rahe,
Manzil mile unhe ye chahat thi humari,
isiliye hum aansu bahate rahe.

Jisne hame chaha ,use chah na sake .
jise hum chahte the use pa na sake,
ye to dil ka khel tha,
kisi ka dil toda ,apna dil bacha na sake .

Kaise Bhula Du Mai Wo Chahaton Ka Mausam,Jab Meri Aahon Se Sulagti Thi Sansein Teri.Ye Aur Baat Hai Ki Tu Ho Chuki Hai Gair,Par Ab Bhi Teri Yaadon Se Roshan Hai Raatein Meri.

Kyu mere liye koi intezar karega
Apni Zindagi mere liye bekrar karega
Mai kya hu meri hasti hi kya hai
kya dekh kar humse koi pyar karega..

Saari raat na soye hum...
Raaton ko uth k kitna roye hum...
Bus ek baar mera kasur bta deh rabba...
Itna pyar kar ke bhi kyu na kisi ke huye hum...

Hami ko katl hona tha banane tajruba shayad,hami ne mitiyo ke daam me kankar kharide hai,Kharide hai jis keemat pe Heere tumne jahawalo,Usi keemat pe maine raah ke pathar kharide hai.

Hum umido ki duniya basate rahe...
Vo bhi har kadam par hamein aazmate rahe...
Jab DOSTI me marna pada...
Hum mar gaye, aur wo bahane banate rahe...!

chaman ke baharon mein tha asshiyana .
Na jane kahan kho gaya wo zamana .
Tumhe bulane ki main khoshish karonga ya
vada karo k tum kabhi yaad na aana

Ye Duniya Wale Bhi Bade Ajeeb Hain
Kabhi Humse Door To Kabhi Kareeb Hain
Dard Na Bataye To Humein Qayar Kehte Hain
Aur Dard Bata De To Shayar Kehte Hain

Sazaa dene wale razaa puchte hain,
jeene ki humse vajah puchte hain . . . .
Dete hain khud hi zeher humko aakar,
phir kitna hua hai asar puchte hain...