Ye kia aik toor se guzare tamam umer, Ji chahta hai abb koi tere siwa bhi ho.

Khared k humen arzan bana dia tum ne, Jo hum bike nahin hote to be baha hote.

Betha ho es umeed par es rigzar par lay kabhi es taraf tuje khuda kabhi  

Faryad kar rahi hai ye tarsi ho nighah, Dikhe hoe kisi ko bahot din guzar gae.

Tarab e kasa dil pesh kr dia jae, Suna hai koi sakhawat me hadd nahin rakhata.

Esi ujrdi hy meri rooh ki galyan ab ke Regzarey teri amad ke nishan dhondti hay

Thukra dia hai jis k lie ik jahan ko, Ya raab wo mera dil na dukhae tamam umer.

Theharny bhi nai deta hy apny dil mai muje mohabten bhi meri dil badar nai karta

Rehte hain kuch malol se chehre paros me, Itna na taiz kijiye dholak ki thap ko.

Chahon to mere pass hai har baat ka jawab, Chahon ga aik rooz abhi chahta nahin.

Saaf inkaar hai aaney ka bahana kesa, Rang laaye hain woh mehndi ka lagana kesa..

Phar pharat hai jo din raat mere sinne me, Abb yahi aik pirinda ha reha karne ko.

Raat meri aankh main aik sailaab tha, Tera chehra dakhina sa bhi tabiyat bhar gai.

Kash aisa ho k abb k be wafai me karon, To phire karya ba karya ko be ko mere lie.

Zolmat e dohar me har simat ojala kar don, Kash mil jaen muje kochae janan k diye.