Arzoo ya hay k izhar-e- muhabbat ker lon alfaz chunti hoon to lahmhaat badal jatay hain

Zare hain magar kam nahin pao ge kisi se, Phir janch k daikho humen phir tool k daikho.

Dil hai to dharkane ka bahana koi dhondhe, Pathar ki tarah be his o be jan sa kion hai.

Fiza me rakas hai sohbha e husain parindon ka, Muje bhi hasrat e parwaz hai kisi k sath.

Ghancha hai to chatake wo sitara hai to chamake, Be taab hai sene me dharkane k lie dil.

Baithe Hue Hain Samne Ek Doosre K Hum Woh Dil Liye Hue hain Hum Tamana Liye Hue…!!

Mene chaha tha sameton aik bikhare shakhs ko, Kitne tokron me na jane zaat meri baat gai.

Khawab ankhon me parone ki ijazat hai tuje, Shab e hijran me bhi sone ki ijazat hai tuje.

To ne kaha na tha ke me kashti pe bhoj hon, Ankhon ke abb na dhamp muje dobata bhi daikh.

Un ke khat ki arzu hai, un ki aamad ka khayal, Kiss qadar phaila hai karobaar-e-intezaar..

Zarorat parh na jae ehtabar e zaat ki khatar, Bacha kar pass apne bhi koi mohjaza rakhain.

Khawahish hai k daikhon tere chehre ko musalsal, Itna muje bhaea hai tera chand sa chehra.

Charagh hon meri wazo me kami nahin ho gi, Muje to jalna hai shab bhar jalon kisi ghar me.

Rakhte hain jo auron ke liye pyar ka jazba Woh log kabhi toot ke bikhra nahin karte…

Os ki khahish hy ke angan may utary soraj bhol betha hy ke khud  mom ka ghar rakhta hy