Rah_E_Wafa Me Sazaon Ko Kon Dekhy Ga, Safar He Dhoop Ka Chaon Ko Kon Dekhy Ga, Hum Apni Zid Pe Aye To Cheen LenGe Tuje, Tere Shehar Ki Ghataon Ko Kon Dekhy Ga, Bichar To Jayen Magar Phir Khayal Aata Hai, Teri In Dilkash Aadaon Ko Koun Dekhy ga.

Beetay Huwe Dinon Ko Bhulaya Nahi Jata Jo Roo Rahay Hon Unko Rulaya Nahi Jata Hasnay Walon Ko Rulana Aasan Hai Lekin Ronay Walon Ko Kabhi Hasaya Nahi Jata Apno Or Geroon Ko Bhulana Asaan Hai Lekin Dil Todnay Walay Ko Bhulaya Nahi Jata Umeed Ban Ke Log Zindagi Mai Atey Hain Khawab Ben Ke Ankhon Mai Sama Jate Hain

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi ?. Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi ?. Na Jany Kio Sabi Shak Kertay Hain Muj Par ?. Jab Sukha Gulaab Meri Kitabun Main Milta Hi Nahi ?. Kashish Tu Bohat Thi Meray Piyar Main ?. Magar Kiya Keru Koi Pathar Dil Piglta Hi Nahi ?. Ager Khuda Milay Tu Us Se Apna Piyar Mangun Ga ?. Par Suna Hay Wo Marney Se Pehlay Kisi Se Milta Hi Nahi ?.

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty, Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty, Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya, Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty, Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon, ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty, Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai “ROGI” Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.

Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .

Roz mujh ko fareb deta hai, Kher us ko yeh zaib deta hai..

Har morr pe milta hai hamdard neya, Mere sheher me hain fankaar bohat..

Tuajub hai ke ishq_o_ashqi se, Abhi kuch log dhoka kha rahe hain…

use ata he mere pyaar par ghussa mujhe us k ghusse pe pyar ata he!!!!!!

Hoslay hi Jawab Dainay lagay, Is Qadar Us nay Aazmaya Mujhy ….!!!!

Har bat pe ranjishen, har bat pe hisab, Goyaa maine ishq nahi, nokri kar li..

Wo bohat kuch jo kitabo may ny tha wo chehron ki lakeero may pardha hy  

Poochte Hain Kya Hua Hai Dil Ko, Husn Walo’n Ki Saadgi Nahi Gayii…!!

Teri nighah me ik rang e ajnabiyat tha, Kis itabar pe hum khol ke guftago karte.

Garam joshi aur is qadar, kya baat hai… kia tumhein mujh sey kuch shikayat hey