Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum, Magar ab karain kyon gillaa ajnabi se, Azal hai neendain ganwaaney ka silsila, Yeh acha nahin silsila ajnabi se..

Qasam de ke apni tujhe rok ley ga, teri laghzishon* pe tujhe ttok de ga, Tu murr murr ke pechey kisey dekhta hai, Tera kon hai jo tujhe rok ley ga.. (laghzishon;deviating)

Aag se seekh liya hum ne yeh qareena bhi, Bujh bhi jana per barri dair tak sulagte rehna, Jaane kis umar main jaaye gi yeh aadat apni, Roothna uss se aur auron se ulajhte rehna..

Dukh bhi deta hai woh dawaa bhi deta hai, Mujhe woh mohabbat karne ki sazaa bhi deta hai, Main yaad karoon to usey yaad aati hai meri, Warna aksar woh mujhe bhulaa bhi deta hai..

Ek Ajnabi Hai Magar, Rooh Shanas Lagta Hai, Meri Tarha Mujhe Wo Bhi Udaas Lagta Hai, Karu’n Talash Toh Ho Shaq Wajood Par Usky, Jo Aankhein Band Karun Toh Aas Paas Lagta Hai..!!!

Khushiyon ki baraat adhoori chorr gaye ho, Saajan dil ki baat adhoori chorr gaye ho, Logon ki takmeel ka baye’s ban’ne wale, Kyun-kar meri zaat adhoori chorr gaye ho…

Teri hi yaadon mein main apna naam bhool jata hoon, Milna tha kis ko, sabhi main kaam bhool jata hoon, Barri mushkil si hoti hai wapis hosh main aney ko, Kab sona kab jagna, subah se shaam bhool jata hoon..

Wafa ko aazmana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha Meri aankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha

Main aik jazeera hon Pyaar se bhara howa Tum yahan par anay se pehle Apna dil saaf kar lo…

Rishte hasaas hote hain, Mohabbat anmol hoti hai, Iss ishq ke bazaar mein, Har cheez be-mol hoti hai..

Mere hamsafar ka yeh hukam tha, Ke kalaam us se kamm karoon, Mere hontt aese sille ke phir, Meri chup ne usey rulaa diya..

Na theen aur koi bi Ranjishain, Sirf Aadaton mein tazaad tha..!! Ke Usey pasand theen Shokhiyaan, Mujhe saadgi main kamal tha..!!

Rat chup the magar khmosh na thi Ankhan the khuly magar hosh na thi Band tha dil magar mot na thi Sab kuch tha magar be-loss na thi

Khuli aankhon se saari umar dekha, Ik aesa khawb jo apna nahi tha, Tum ne kon si achaayi ki hai, Chalo maana ke main acha nahi tha..

Dil yu hi kisipe aata nahi, har baat ki wajah me batata nahi, dil chahata hai jaane usko hi kyun, ye mein khud bhi abtak jaanta nahi