Kahan koi aisa mila jis par hum duniya luta dete, Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete, Apne dil ka zakhm dil me hi dabaye rakha, Bayaan karte to mehfil ko rulaa dete..

To hi mil jai mujhy bas itna hi kafi hai. Meri har sans ny bas yeh hi dowa mangi hai Jany kiyo dil khincha Chala jata hai Teri Taraf Kiya to ny Bhi mujhy pany ki dowa mangi hai

Wo jo mera ho nigahon main haya rakhta ho, Umar bhar saath nibhay azm-e-waffa rakhta ho, Naz uss kay na uthao to shikayat na kary, Gham utha kar bhi muskarany ki ada rakhta ho.

Tum se kab hum ne mulaqat ka vaada chaha, Door reh ker tujhe kuch aur bhi zeyada chaha, Yaad aayi hai teri aur bhi shiddat se humein, Bhool jaane ka tujhe jab bhi iraada chaha..

Jo dil main hai ankhon ke hawaale nahin karna, Khud ko kabhi khawbon ke hawaale nahin karna, Iss umar main khush’fehmiyan achi nahin hotin, Iss umar ko vaaadon ke hawaale nahin karna..

Kabhi iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya, Har baar ik naye azaab se dochaar kar geya, Rasta badal badal kar bhi dekha magar woh shakss, Dil main utar kar woh saari hadhain paar kar geya..

Kuch main bhi thak gayi hoon usey dhoondte dhoondte, Kuch zindagi ke pass bhi mohlat nahin rahi, Us ki aik aik adaa se jhalakne laga tha khuloos, Jab mujh ko hi aitbaar ki aadat nahin rahi..

Ab na woh manzar na woh chehre nazar aatey hain, Mujh ko maloom na tha khawb bhi mar jaatey hain, Jaane kis haal main hum ke humen dekh kar sab, Aik pall ke liye rukte hain, guzar jaatey hain..

Tu ne nafrat se jo dekha hai to to yaad aya, Kitne rishte teri khaatir yunhi torr aya hoon, Kitne dhundhley hain yeh chehre jinhe apnaaya hai, Kitni ujli theen woh ankhen jinhe chorr aya hoon..

Be-khaloos logoon se ijtenab karna hai mujh ko apnay rishtoon ka ehtasab karna hai, tum ko bhool jana hai tum ko yaad rakhna hai dukh tu aik jaisa hai intakhab karna hai……….!!!

Wafa Ki Jung Mat Larna Ye Baykaar Jati Hai !!!! Zamana Jeet Jata Hai Mohabbat Haar Jati Hai !!!! Hmara Tazkira Chourou Hum Aisy Loog Hai Jin Ko !!!! Zamana Kuch Nhe Kehta Judai Maar Jati Hai !!!!

Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai, Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai, Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho, Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..

Mahobbat me kuchh is tarah “wafa” karu, Woh bhul b jae to me “yaad” karu, Mahobbat ne bas itna “sikhaya” he muje, K khud se pehle unke liye “dua” karu..

Lamha lamha guzar jaata hai kabhi aik aik saal, Kabhi lamhe ki tarah saal guzar jaata hai, Kabhi narmi, kabhi sakhti, kabhi ujlat, kabhi dair, Waqt aye dost, beherhaal* guzar jaata hai.. (beherhaal;somehow)

Woh kya nanhi si na’asoodgi per khul ker ro lena, Qayamat bhi guzar jaye to ab roya nahin jaata, Yeh kesi fitnaa parwar fassal hai Masood basti mein, Jisse kaatta to jata hai magar bboya nahin jaata..