Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya, Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya, Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai, Jo apne naam ki takhti* lagaa ke chorr geya.. (takhti;nameplate)
Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya, Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya, Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai, Jo apne naam ki takhti* lagaa ke chorr geya.. (takhti;nameplate)
Aag paani mein lagane ka hunar seekha hai, Kaam mushkil hai bohat hum ne magar seekha hai, Yeh jo chaltay nazar aatay hain musalsal hum log, Kuch to paanay ki talab hai jo safar seekha hai.. Imran Rashid Yawa
Deyaar-e-ghair mein rehte huye roya nahin jata, Kisi ki yaad ka paani bhi khoya nahin jata, Main raaton ko sarrak pe iss liye bhi aa nikalta hoon, Mere kamray mein itna habbass* hai, soya nahin jata.. (habbass; wam,humid)
Ajab Rasm hai Chara Garr’on ki Mehfil mai Lga ker Zakhm Namak se Masaaj krty hain Ghareeb-e-Sheher tarasta hai ik Niwaley ko Ameer-e-sheher k Kuttey b raaj kerty hain (Mehfil:Gathering)(Rasm:Tradition)(Niwaley:Bites of food)
Na sawaal ban kar mila karo, na jawab ban kar mila karo, Meri zindagi mere khawb hain, mujhe khawb ban kar mila karo, Abhi sochna hai to soch lo, abhi chorna hai to chorr do, Naye mausmon mein milo mujhe to gulaab ban kar mila karo..
Barff aisi ke pighalti nahin paani ban kar, Pyaas aisi ke bujhaatey huye thak jaata hoon, Achi lagti nahin iss darjaa shanasaayi* bhi, Haath haathon se milaatey huye thak jaata hoon.. (shanasaayi:knowing someone, meeting, milna milaana)
Gham’zadon* par is qadar hota hai maazi ka assar, Shadmaani main bhi aksar muskuraa saktey nahin, Jis tarah do taalib-o-matloob naraazi ke baad, Mudatton ik dusrey ke dilon se jaa saktey nahin.. (Gham’zadon;grieved person, sad person) Abdul Hameed Adam