Ye kya jane mein jana hai, jate ho khafa hokarmain tab janu mere dil se chale jao juda hokarqayamat tak udegi dil se uthakar khak aankhon takisi raste gaya hai hasaraton ka kafila hokartumhin ab dardedil ke naam se ghabraye jate hotumhin to dil mein shayad aaye the dardeashiyan hokaryun hi hamdam ghadi bhar ko mila karte to bahatar thake dono waqt jaise roz milate hain juda hokarPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Seemab Akbarabadi

Kiya Khazaane Meri Jaan, Hijar Ki Shab Yaad Aaye Tera Chehra, Teri Aankhen, Tere Lab Yaad Aaye, Ek Tu Tha Jise Gurbat Mein Pukaara Dil Ne Warna Bechre Howe Ahbaab To Sab Yaad Aaye, Hum Ne Maazi Ki Sakhawat Pe Jo Pal Bhar Socha Dukh Bhi Kiya Kiya Humen Yaaron K Sabab Yaad Aaye, Phool Khilne Ka Jo Mosam Mere Dil Mein Utraa Tere Bkhashe Howe Kuch Zakham Ajab Yaad Aaye, Bhool Jaane Mein Woh Zalim Hai Balaa Ka Maher Yaad Aane Pe Bhi Aay To Ghazab Yaad Aaye….!

Muhabbat sirf lifazi nahi, ye is se barh kar bhi boht kuch hai Muhabbat hai chubhan dil ki. . ! kisi ko kab, kahan ye raas hoti hai Magar phir bhi Muhabbat khaas hoti hai Musalsal intehaa’n hai ye Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar Nateejay ki kabhi parwa nahi karty muhabbat dard hoti hai magar ye khud bht be-dard hoti hai Bicharna hi agar likha hai muqaddar mein Tou is mein dair kahay ki? Chalo is pal isi lamhay bichartay hain . . !

Tujhy bhula k jiyu’n, aisi bad-dua bhi na de Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de Ye umer meine tery naam be-talab likh di Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’ Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de. . !

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay, Ye Kesi Bebasi hy Ham ro bhi nhi saktay, Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy, Teri Yaad Aati Hy To Phr So Bhi Nhi Saktay, Chupa Saktay Hain Na Dikha Saktay Hen Logon Ko, Kuch Aesay Daagh Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Saktay. Kaha To Tha Chor Deingay Ye Nagar Phr Ruk Gaey Lakin, Tumhein Paa To Nhi Saktay Lakin Kho Bhi Nhi Saktay. Hmara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To, Jein Kesay Keh Tum Se Door Reh Bhi Nhi Saktay.

Zamanay Ko Samjhana Chahata HoonMain Apni Rut Badalna Chahata HoonKay Bay Maani Hai Ab Saari KitaabainTerey Chehray Ko Parhna Chahata HoonAbhi Khushion Ko Mujh Say Door RakhoAbhi Ghum Say Ulajhna Chahata HoonTumhara Hijar Kitna Jaan Fiza HaiMain Har Lamha Tarpna Chahata HoonMain Apni Akhri Sansoon Ki Had TakTumhari Rah Takna Chahata HoonTeri Yaadain Mera Daman Tu Choor DenK Main Khud Ko Sambhalna Chahata HoonSulaaghti Hai Merey Undaar JudaaiBhala Main Kab Tarapna Chahata Hoon

Fir Kyu Dost Humse Tum Hi Juda HoTum Raat Ho Tum Hi Din HoTum Aaj Ho Tum Hi Kal HoTum Chand Ho Tum Hi Suraj HoTum Ambar Ho Tum Hi Dharti HoTum Baadal Ho Tum Hi Baris HoTum Nadi Ho Tum Hi Saagar HoTum Gul Ho Tum Hi Gulshan HoTum Baag Ho Tum Hi Bahar HoTum Phool Ho Tum Hi Kali HoTum Dil Ho Tum Hi Dhadkan HoTum Mann Ho Tum Hi Manmeet HoTum Nain Ho Tum Hi Sapna HoTum Sans Ho Tum Hi Jindagi HoTum Chahat Ho Tum Hi Armaan HoTum Aas Ho Tum Hi Pyas HoFir Kyu Dost Humse Tum Hi Juda Ho……

Mai To Faqat Chand Dino Ka Mehman HuKisi Bi Lamhe Duniya Chor Jao GaLaut Ke Koi Nahi Ata Is Duniya MaiMai Tuje Kaynat Mai Tanha Chor Jao GaJis Subha Se Teri Umeedai Wabasta HonMai Wo Haseen Subha Chor Jao GaMaire Jane Ke Bad Tuj Ko Mile Ga Har ChainKyu Ke Teri Khushiyo Ki Dua Chor Jao GaJahan Se Tuj Ko Koi Ruswa Na Kar SakeTere Liye Aisi Panha Chor Jao GaMairi Mut Pe Tuj Ko Koio Bewafa Na KaheTeri Asani Ke Liye DastaneWafa Chor Jao GaMuje Maf Karna Sirf Is Kata Pe K Jate JateTeri Aankho Mai Ansu Chor Jao Ga

ye kesi paheli hai jo suljhaye sulajhti nhi ye ankho me nami kyun hai jab k uske jane ka mujhe gham nhi mujhse aisi kia khata hogayi jo mere dil ka saath bh mujhe hasil nhi ronaq chehre ki kyun gayab hui jab k uske jane ke mujhe gham nhi tanha reh gaya hun me apne aashyane me lekin yun mat samajhna k mera koi saathi nhi meri parchhayi hi meri tanhai hai is jahan me mera koi dusra sahara nhi tha basaya use is dil me mene magar ab koi hasrat baki nhi phir ye ankhon me nami kyun hai jab k uske jane ka mjhe gham nhi……

hal usaka tere chehare pe likha lagata haiwo chup chap khada hai tera kya lagata haiyun to har cheez salamat hai meri duniya meinek ta’alluq hai jo tuta hua lagata haimain ne socha tha ki aabad hun ek shahar mein mainyan to har shakhs ka andaz juda lagata haimoddaten bit gain tay na hui manzileshauqek aalam mere raste mein pada lagata haiae mere jazbaedauron mujh mein kashish hai itanijo khata hota hai wo tir bhi aa lagata haijane kon si pasti mein gira hun “shehzad”suraj bhi is qadar dur hai ki diya lagata hai Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Shehzad Ahmed

aag hai pani hai mitti hai hava hai mujh meinaur phir manana padata hai ke khuda hai mujh meinab to lede ke vahi shakhs bachcha hai mujh meinmujh ko mujh se juda kar ke jo chupa hai mujh meinmera ye hal ubharati hui ?????? jaisevo badi der se kuch dhundh raha hai mujh meinjitne mausam hain sab jaise kaheen mil jayenin dinon kaise bataun jo faza hai mujh meinaaina ye to batata hai ke main kya hun lekinaaina is pe hai khamosh ke kya hai mujh meinab to bas jan hi dene ke hai bari ae “noor”main kahan tak karun sabit ke vafa hai mujh meinPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Krishan Bihari Noo

Uske Bin ChupChup Rehna Aacha Lagta HaiKhamoshi Se Ek Dard Ko Sehna Aacha Lagta HaiJis Hasti Ki Yaad Mein Aansun Baraste HaiSamne Uske Kuch Na Kehna Aacha Lagta HaiMilkar Usse Bichad Na Jaye Darte Rehte HaiIsliye Bas Dur Hi Rehna Aacha Lagta Hai Jee Chahe Apni Sari Khushiyan Laakar Usko De DuUske Pyaar Mein Sab Kuch Khona Aacha Lagta HaiUska Milna Na Milna Kismat Ki Baat HaiPal Pal Uski Yaad Mein Rona Aacha Lagta HaiUske Bina Sari Khushiyan Ajeeb Lagti HaiRo Ro Kar Uski Yaad Mein Sona Aacha Lagta HaiHumse Mohbbaton Ki Numayaishe Na Ho SakiUsko Chahte Rehna Aacha Lagta HaiShare By : Bindu Mahajan

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai? Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai? Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai? Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai? Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai? Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai? Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai? Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’ Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

tulueshamsemufaraqat haipurani kiranen naye makanon ke aanganon mein laraz rahi hainfasileshaharevafa ke rozan chamakate zarron se bhar gai haingaye dinon ke aziz baten nigar subahen gulab ratenbisatedil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar matenjudaiyon ke havayen lamhon ke khush matti uda rahi haingai ruton ka malal kab takchalo ke shakhen to tutati hainchalo ke qabron pe khun rone seapani aankhen hi phutati hainye mod wo hai jahan se mere tumhare raste badal gaye hainpurani rahon ko lautana bhi hamari qatadir mein nahike raste bhi hamare qadamon ke sath aage nikal gaye haintulueshamsemufaraqat haitum apani aankhon mein jhilmilate huye sitaron ko maut de dogai ruton ke tamam phoolon tamam kharon ko maut de donaye safar ko hayat bakhshoke pichali rahon pe sabt jitne nuqushepa hainwo bar hongehawa u/daye ke tum udao Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Amjad Islam Amjad

Log Kehte Hai Kisi Ke Jaane Se Zindagi Nahi Rukti,Phir Kyun Jeenay Ka Dil Nahi Kartha, Saansey Nahi Chalthi…Log Kehthay Hain K Aahisthay Aahisthay Aadat Parh Jaathi Hai,Phir Kyun Har Din K Saath Ye Dukh, Ye Takleef Barthi Jaathi Hai…Log Kehthay Hain Koi Gham Itna Baraa Nahi K Jeeya Na Jaaye,Phir Kyun Jeenay Ki Koi Khwahish Nahi,Umeed Nahi, Koi Tho Bataaye…Log Kehthay Hain Waqt K Saath Saath Sab Theek Hojaatha Hai,Phir Kyun Har Din, Har Pal,Har Lamha Khud Se Larhna Parhtha Hai,Log Kehthay Hain K Khushi Hamaray Andher Hothi Hai,Phir Kyun Mujhe Kuch Mehsus Nahi Hotha, Har Khushi Dur Lagthi Hai,Log Kehthay Hain Guzarthay Waqt K Saath Khushiyaan Aathi Hain,Phir Kyun Ye Dil Khoon K Aansu Rotha Hai,Bus Yaadein Reh Jaathi Hain,Uss K Jaaney Se Chali Gayi Khushiyaan Meri, Yehi Sach Hai,Uss Ki Yaadein Aansu Ban Kar Nikalthi Hain, Dil Mein Bohat Kuch Hai…