Haan Yeh Aasan Nahi K Main Khud Ko Tujh Se Juda Karlon Per Itna Bhi Mushkil Nahi Tujh Ko Alwida Kehna Aansoo Jo Huey Teri Amanat Lauta Dongi Woh Yaadein Wohi Haseen Yaadein Haan Main Sab Bhula Dongi Agar Main Chahon??. Safar Jo Zindagi Ka Tera Haath Thaam Kar Guzara Main Ne?. In Kadmoo Ka Aik Aik Naksh Mita Dongi Haan Main Woh Sab Jhutla Dongi?? Main Janti Hon Meri Rooh Main Basi Hay Teri Khushboo Meri Rago Main Hay Dorta Teri Chahato Ka Laho Main Na Chahon Bhi Tau Tujhe Hi Pukarti Hon Per Main Apne Lafz See Longi Khud Pe Khamooshi Ka Khol Charha Longi Teri Har Umeed Bhuja Dongi Har Woh Raasta Jo Teri Jaanib Jaata Hay Badal Don Gi??. Woh Aashiyana Jo Hum Tum Ne Aik Dojay K Liye Banaya Tha Main Usse Aag Laga Dongi Main Teri Nazro Se Ohjal Hojaon Gi Teri Duniya Se Door Chli Jaon Gi Agar Na Karsaki Aisa Khud Pe Bhes Charha K Ajnabi Ho Jaon Gi???.. Agar Na Karsaki Aisa??. Khamooshi Se Apne Daaman Main Tera Aks Sametay Zindagi Se Aanchal Chura K Andhero Main Kho Jaon Gi Per Kasam Hay Na Kisi Aur Ki Bano Gi Na Tere Paas Lauton Gi

Haan Yeh Aasan NahiK MainKhud Ko Tujh Se Juda KarlonPer Itna Bhi Mushkil NahiTujh Ko Alwida KehnaAansoo Jo Huey Teri AmanatLauta DongiWoh YaadeinWohi Haseen YaadeinHaan Main Sab Bhula DongiAgar Main Chahon…….Safar Jo Zindagi KaTera Haath Thaam Kar GuzaraMain Ne….In Kadmoo KaAik Aik Naksh Mita DongiHaan Main Woh Sab Jhutla Dongi……Main Janti HonMeri Rooh Main BasiHay Teri KhushbooMeri Rago Main Hay DortaTeri Chahato Ka LahoMain Na Chahon Bhi TauTujhe Hi Pukarti HonPer Main Apne Lafz See LongiKhud Pe Khamooshi Ka KholCharha LongiTeri Har Umeed Bhuja DongiHar Woh Raasta Jo Teri Jaanib Jaata HayBadal Don Gi…….Woh AashiyanaJo Hum Tum NeAik Dojay K Liye Banaya ThaMain Usse Aag Laga DongiMain Teri Nazro Se Ohjal Hojaon GiTeri DuniyaSe Door Chli Jaon GiAgar Na Karsaki AisaKhud Pe Bhes Charha KAjnabi Ho Jaon Gi………..Agar Na KarsakiAisa…….Khamooshi SeApne Daaman Main Tera Aks SametayZindagi Se Aanchal Chura KAndhero Main Kho Jaon GiPer Kasam HayNa Kisi Aur Ki Bano GiNa Tere Paas Lauton Gi

Wo kehta tha! Tum aao sheher mera ghaur se, nazdeek se dekho Yahan k log aur un ki saqafat. . .aur Kisi ko paa k khonay ki haseen lazzat Yahan ka rehna, basna, bolna, hansna Muhabbat k anokhay roop In ki chaa’on in ki dhoop tum dekho! Yahan k jazbay boht sachay, boht achay boht masoom hoty hain Mery dil ne kaha aao samander choo k dekhaingy Wahan ja kar laga wo sheher mera hai Wahan sahil bhi mera us pe likhy khuwab mery hain Samander ki sabhi mauj’on pe mery aks thehery hain Wo saray log mery hain sabhi manoos chehray hain Wahab mitt, hawain, phool, pathar tak lagy apny Magar ik ajnabi c,daimi dil ko kasak is shakhs ne bakhsi jo aksar tang karti hai, jo mujh se jang krti hai Boht socha k aisa kyun hua, kaisy hua aakhir Tou dil ne holay holay se kaha ye sab to hona tha Tumhain us shakhs se milna, usey pana, khona tha Azal se is tarha hota chala aya Anokha bhaid hai is ko kisi ne kab, kahan paaya Bus itni baat tum ko yaad rakhni hai Tumhain us se muhabbat hai Laga chaar’on taraf fitrat pukaar uthi Tumhain us se muhabbat hai, Tumhain us se muhabbat hai Mery dil ne mery honton ne bhi iqraar ki manzil choo kar kah diya Yak Dam Mujhy Us se Muhabbat Hai MUJHY US SE MUHABBAT HAI. . !