Ajab saadi hai k be chehra ho gai makhloq, Mujhe kisi k bhi shanon pe sir nahin milta.

Kitna phailay ga ye ik wasl ka lamha aakhir? Kia sameto gay k ek umer ki tanhai hai. .

Balaon ga na milon ga na khat likhn ga tje, Tri khushi k lie khod ko yeh saza doon ga.

Jado hai ya tilism tumhari zaban mein.!! Tum jhoot keh rahey thay, mujhey aitbar tha..

Hum se pehly bhi ye martaba-e-daar na tha Ishq ruswa tha magr yun sar-e-bazaar na tha!

Sirf dhundlaye sitaron ki chamak dekhi hai, Kab howa kon howa mujhsey khafa yad nahi..

Zindagi jin key tasawor sey jila pati thi.. Haye kia log thay dam-e-ajjal mein aaye.!!

Khamosh pujari ko tarapney sey kia hasil.. Be-parda chaley aao tarsaney sey kia hasil.!

Khat likh’ein gey chahye matlab kuch na ho! Hum to ashiq hein tumharey naam key..

Hasrat per us musafir-e-be-kas k roye. . ! Jo thak gaya ho beth k manzil k saamney. . !

Chalo apni muhabbat sabhi ko baant aain. . ! Har ik pyar ka bhooka dikhai deta hai. . !

Qismat mein hamari wohi teerah shimi hai! Haalat k jo pehly thi hamari wo abhi hai. . !

Chalay ho ghareebo’n se ranjoor ho kar. . ! Abhi laut aao gay majboor ho kar. . !

Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost . ! Tamaam raat sulagty hain dil k veeranay. .

Jal bujhi shama to parwanay bhool gaye. . ! Kon aata hai kisi sokhta samaan k paas. . !