Bus yunhi rasmi rasmi sa Ik be-mafhoom ta’aruf tha Us ne mera number mang liya Phir ik din telifone kiya Phir fone kiya.. Phir fone kiya.. Ik roz thi barish zoro’n per Baadal garjay, Bijli chamki Phir boondai’n barsi khirki per Tab uska telifone aya Be-saakhta meine us se kaha Barsaat mein tanhai ki saza Kyun deti ho? Kyun karti ho tum fone mujhy? Kuch lamho’n tak wo chup si rahi Phir kehnay lagi: Jo aap ka dheema lehja hai Mujhy be-hadd acha lagta hai Awaaz jo ap k honto’n se Tashna kaano’n tak aati hai MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!

Ye dil gehra samander hai Aur is mein ik jazera hai muhabbat nam hai jis ka Sitar’on ki tarha roshan, damakta, muskurata Khushbo’on rang’on mein doba Sarab’on ki tarha sey bhi hum is ko qaid ker nahi saktey hargiz Wo titli ki tarha sey ungli’on sey sard por’on ko Dhanak sa ker to deta hai Magar kuch dair mein khawaj=hish key sahil per pari Gili si,thandi sir ait jesa ban jata hai Hawa’on ki tarha sey hum bhi is ko cho to saktey hein Magar koi taluq der pa qaim kabhi nahi ker saktey Ye dil gehra samander hai Aur is mein ik jazera hai muhabbat nam hai jis ka

Muhabbat mein muhaabbat ki safai de rahy hain hum Ajab aashiq hain, azar aashnai de rahy hain hum Hamary haal per jana’n boht khush fehm mat hona Dikhanay k liye aisay dikhai de rahay hain hum Koi tohfa tumhein dena to tha apni muhabbat ka Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de rahy hain hum Hamary rat-jago’n ka tum ko kuch ehsas to ho ga Dam-e-rukhsat, tumhein sham-e-judai de rahy hain hum Jinhain khoon-e-jigr se paish ro tehreer karty thy Ab in lafzo’n ko dil ki roshnai de rahy hain hum Hum itny shor mein sab se mukhatib bhi nahi ‘Sajid’ Jo sun sakty hain bus unko sunai de rahy hain hum. . !

Un Jheel Si Gehri Aankhon Main Ik Shaam Kahin Abad To Ho Us Jheel Kinaray Pal Do Pal … Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay Woh Phool Baha Dain Lehron Main Ik Roz Hum Sham Dhalay Us Phoolk Behtay Rangon Main Jis Waqt Larazta Chand Chalay Us waqt Kahin Un Aankhon Main Us Bisray Palki Yaad To Ho Un Jheel Si Gehri Ankhon Main Ik Sham Kahin Abad To Ho Phir Chahay Umer Samunder Ki Her Moj Pareshan Ho Jaay Phir Chahay Aankh Dareechay Say Her Khawab Gurezan Ho Jaay Phir Chahay Phool Say Chehray Per Her Derd Numayan Ho Jaay Us Jheel Kinaray Pal Do Pal Woh Roop Nagar Eejad To Ho Din Raat K Is Ainay Say Woh Aks Kabhi Azad To Ho Un Jheel Si Gehri Aankhon Main Ik Sham Kahin Abad To Ho..!!!!

Agar tum ko muhabbat thi To tum ney raast’on sey ja ker pocha kiun nahi manzil key barey mein Hawa’on pey koi pegham tum ney likh diya hota Darkht’on per likha wo nam tum ney kiun nahi dhonda..? Wo thando oss mein bhega, mehakta sa gulab aur mein Meray dhani sey anchal ko tumhara barh key chu lena Churana rang titli key, kabhi jugnoo ko pa lena Kabhi kaghaz ki kashti per bnana dil ki sorat aur is per khob likh jana Kisi bhanwrey ki sokhi aur kali’yon ka wo urna Tumh’ein bhi yaad to ho ga? Agar tum ko muhabbat thi ye sari baat’ein bhool saktey thay? Nahi jana’n! Muhabbat tum ney dekhi hai muhabbat tum ney pai hai Muhabbat ki nahi tum ney……

Kisi din loat na paaon Tumhain main yaad gar aaon Sulla k apni ankhon ko Mujhay tum khawb main milna Waja tum jaan jaao gi Mujhay pehchan jaao gi Tumharay paas he aana thha Mujhay kahan ore jaana thha Magar qudrat nay rakha thha Tumhara imtehan iss main Mohobat say bohat aagay Tumhain bhe aazmana thha Tumhain daiy kar zara sa gham Mujhay bhe ye batana thha Sirf tum he nehi kartay Mohobat apni manzil say Wo manzil bhe tumhari raah taktay Sisakti hay, tarapti hay Aansoo bahati hay Ore kehti hay Chalo ab loat bhe aao Sunna tum nay ……. Chalo ab loat bhe aao Chalo ab loat bhe aao…………… by Shaukat Ali Khan (Qudrat:Nature)(Manzil:Destination)(Loat:Come Back)

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar Khod apnay he haaton sai ye zeher piya kar Takleef main ehsaas-e-mohobat ko dubo kar Umeed ke kirno’n main tou rooz jiya kar Daikhay jo teray haal ko apnay main sumo ker Aisay he kisi shakhs sai tou piyar kiya kar Jeenay main kehin sokh ore kehin dard-e-jahan hai Haaton kee lakeeron ko na dosh diya kar Jalta hai jism tera agar roog-e-wafa main Parwanay kee jurrat ko tou yaad kiya kar Bhikhray howay patton sai nashaimun ko saja kar Ujaray howay logoon ko abaad kiya kar Sumjhay jo tera dard koe aisa wali ho Barbaad dilon main usay dhoondh liya kar Wo kaun hai shaukat jo mubera hai dokhon sai Aflaas ke basti main zara jhaank liya kar by Shaukat Ali Khan

Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna Apnay humaray darmiyan deewar daikhna Thhokra k aap nay humain achha sila diya Hum thhay k hum nay chaha so bar daikhna Lehra diye aap nay parday fizaon main Dushwar kar diya husn-e-yar daikhna Milnay ke aap ko kabhi fursat nehi mili Hum thhak gaeiy simt coo-e-yar daikhna Janay kahan say aap nay seekhien adawatain Mushkil nehi thha warna ik bar daikhna Maeyeser kabhi jo aap ko aaiyen mohobatain Palaray main rakh k aap mera payar daikhna Kyun aap ko haasil howa zulmaton ka haq Kis nay diya aap ko ekhteyaar daikhna Kaisay bhoolayien gaiy unhain shaukat khaber nehi Apnay jigar ke taqat-e-izhaar daikhna (Palaray:one side of weighing machine)(Maeyeser:Available)(Dushwar:Difficult) by Shaukat Ali Khan

Muhabbat mein muhabbat hi hamesha shart hoti hai Magar kehtay hein kuch zimni si shart’ein bhi zarori hein Koi wada karo to dil ki dharti per likho is ko Jigar sey roshnai lo Qalam jazb’on ka thamo aur dharkan sey gawahi lo Ye jan jaye magar wadey pey koi anch na aaye Muhabbat key safar mein pehli serhi per Hamesha sey, khasara pehlay sey taiyar milta hai Aur ungli tham ker chalta hai, jab tak saans baki hai Muhabbat kernay waley mur ker dekha hi nahi kertay Muhabbat kernay waley agar thak bhi jain to nahi ruktey Bhaley sey per’on key chaley, dehakti rait sulghaye Sawa nezay pey soraj an utrey aur jhulsaye Key in key bal-muqabil to dehakta toor hota hai Muhabbat to bohat anmol hoti hai magar is mein Wafa mashrut hoti hai

ﮐﺲ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﺗﮭﺎ ﭨُﻮﭨﻨﺎ ﺍﭘﻨﺎ
ﮬﻢ ﺟﻮ ﭨﻮﭨﮯ ﺗﻮ ﺭﺍﺋﯿﮕﺎﮞ ﭨُﻮﭨﮯ
ﺟﯿﺴﮯ ﭘﻠﮑﻮﮞ ﺳﮯ ﭨﻮﭨﺘﺎ ﺁﻧﺴﻮ
ﺟﯿﺴﮯ ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﮎ ﮔُﻤﺎﮞ ﭨُﻮﭨﮯ .

Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon kabhi aesa ishq nahin kiya k nadaamten mery saath hon koi aesa harf nahin likha k ho sharm saar qalm mera koi aesa jurm nahi kiya k wazahten mery saathon faqt aik shakhs ki aarzoo m guzar rahi hai yeh zindagi yeh talab nahin k tamaam sheher ki chahten mery saath hon jo main jaagta hoon to is liye k kisi ko neend ot aasaky meri subh us p nisaar ho meri zulmaten mery saath hon main kisi adalat-e-ishq main?ae mery khuda?rahoon sur kuroo kaf-e-dast par mera dil rahy?meri tohmaten mery saath hkon yeh nahin k rah m jo mily usy hamsafar hi banaoon jo tamaam umr nabha saken woh rafaqten mery saath hon mujh rasmi sa mel jol?pasand hi nahin jan-e-man! main yeh chahta hoon k jo tu mily?meri wehshaten mery saath hon

Bheegi aankho se muskurane me maza aur hai, Haste haste palke bhigane me maza aur hai, Baat khehke toh koi bhi samjhe, Khamoshi ko koi samjhe toh maza aur hai???. Kanta na hota, toh phool ki hefazath na hoti, Andhera na hota,to roshini ki zarurath na hoti, Agar mil jati har khushi duniya me, Toh dil ki mulaqath dard se na hoti Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti, Aur mujh uski pehchan hoti, Kharid leti har khushi aapke liye, Chahe uski keemath meri jaan bhi hoti? Juda rehkar bhi woh satane se baaz nai ate, Dur rehkar bhi who dil jalane se baaz nahi ate, Khud toh so jate hai chain se magar, Khwab me aane se bhi wo baaz nahi aate??? Rishton ki yeh duniya hai niraali, Sab rishton se pyaari hai tumhaari, Manzoor hai aansu bhi aankhon me hamari, Agar aajaye muskaan honton pe tumhari???

Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka Tumhain thha bas yehi kehna mohobat rog hay dil ka Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar Unhi kutbon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka Tumhara saath chaha tau milay aanso umer bhar k Yunhe aankhon ka num rehna mohobat rog hay dil ka Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k Phir soochon main gumm rehna mohobat rog hay dil ka Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab Mujhay tum khud he likh daina mohobat rog hay dil ka Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main Meray lafzon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka Tumhari jaan ka sadqa lahoo say main chukaaon tau Subhe say tum yehi kehna mohobat rog hay dil ka Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka Hazaron ghum parain sehna mohobat rog hay dil ka by Shaukat Ali Khan

Bikhrey aansoo k moti hum piro na sake Teri yaad me saari raat so na sake Beh na jaye aansoo main tasvir teri Bus yahi soch kar hum ro na sake Wo mil jatey hain kahani bankar Dil mein bas jatey hain nishani bankar Jinhe hum rakhte hain apni aakho mein Kioon nikal jatey hain wo pani bankar Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai Nigaaho ko teri talaash rehti hai Tere bina koi kami nahi lekin Tere bagair tabiyat udaas rehti hai Samjha na koi dil ki baat ko Dard duniya ne bin soche hi de diya Seh gaye jo hum agar dard ko chupke se To phir humko patthar dil keh diya Agar hum na hote to gazzal kon kehata Aapke chehare ko komal kon kehata Ye to karishma hai mohabbat ka Varna patthar ko TAJ-MEHAL kon kehata Dard se dosti ho gayi yaaroo Zindagi bedard ho gayi yaaroo Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara Door tak roshni to ho gayi yaarooo

Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain Chaar soo andhairay hain un ginnat jhamailay hain Kishtiyan hain kaaghaz ki barishon ka mousam hay Aandhiyon k jhhakad main paaniyon k railay hain Dard ka sumdar hay mohabaton ke baazi main Ghamo ke rawani main dard kitnay jhailay hain Tum bina adhori hay zindagi dau pal ke hay Ansoowon k darya main kis qader akailay hain Na tammam ruston main doshmanno k pehray hain Baywafa zamanay nay khail kaisay khailay hain Kis ko maan lain apna kis say doshmanni rakhain Iss baibasi main ghum baishumaar jhailay hain Baat ik lumhay ke hay waqat kab maeyeser hay Khawhishein hazaron hain haath meray phailay hain Aa k tum he rakh jaao dil pay haath shaukat k Dooor reh k batoon say dil kis k behlay hain (Kashtiyan:Boats)(Barish:Rain)(Jhailay:Been Through, Faced)(Rawani:Continuous) by Shaukat Ali Khan