Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

Mein ney nazar’on sey is ko chum lia Jo tum ney mujhey dia tha kabhi Ik mehakta hua sa surkh gulab Zindagi ki haseen raah’on mein In mehakti hui fiza’on mein Is ki khushbo mein din guzar’on gi Mujh ko jenay ka hosla dey ga Ik mehakta hua surkh gulab Mein isi soch key samandar mein Ghota zan thi key yak-ba-yak mujh ko Dour rastey mein tum nazar aye Tum kisi ajnabi si larki ko Dey rahey thay khod apney hath’on sey Ik mehakta hua surkh gulab!

Tujhy bhula k jiyu’n, aisi bad-dua bhi na de Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de Ye umer meine tery naam be-talab likh di Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’ Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de. . !

Agar wo pyaar kar laiti Maira daaman pakaR laiti To jeevan main faqat us say Mohabbat farz ho jaati Mohabbat qarz ho jaati Magar Acha kiya us nay Mujhay samjha kay chal nikli Mujhay thukra kay chal nikli Bohat nadaan si hay wo Abhi anjaan si hay wo Kahan ma’loom hay us ko Mohabat zindagi main bus Faqat ik baar milti hay Agar thukra kay chal niklain To umrain beet jaati hain Mohabbat ki tamanna main Magar Har aik rastay pay Sirf ruswaaii milti hay Faqat tanhaaii milti hay

Be-kinar jazb’on ko Kab kinar milta hai? Be-qarar soch’on ko ,kab qarar milta hai Be-daiyar log’on ko, kab daiyar milta hai Aaj kis key liye tum ney ye sawal pochey hein? Aik pal ko socho to’ Be-khabar parind’on ko Kab hawa’ein deti hein Khushbo’on key sandesey Ajnabi jazeer’on ka kab pata batati hein In ko in key honey ka Kab yakeen dilati hein Tum ney jo bhi pocha hai Hum jawab denay ka hosla agar rakhtey Muztarib hi kiun hotey..??

Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?! Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay? Kaho kis ko bataao gay? Woh apni uljhanai?n saari? Woh bay-chaini may doobay pal? Woh aankho?n may chhupay aa?nsu? Kisay phir tum dikhao gay? Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay? Bohot bay-chain ho gay tum? Bohot tanha reh jao gay? Abhi bhi tum nahee?n samjhay..! Humaari an-kahi baatai?n..! Magar jab yaad aaey?n gay? Bohot tum ko rulaey?n gay? Bohot chaaho gay phir bhi tum? Humai?n na bhool pao gay? Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?!

Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?! Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay? Kaho kis ko bataao gay? Woh apni uljhanai?n saari? Woh bay-chaini may doobay pal? Woh aankho?n may chhupay aa?nsu? Kisay phir tum dikhao gay? Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay? Bohot bay-chain ho gay tum? Bohot tanha reh jao gay? Abhi bhi tum nahee?n samjhay..! Humaari an-kahi baatai?n..! Magar jab yaad aaey?n gay? Bohot tum ko rulaey?n gay? Bohot chaaho gay phir bhi tum? Humai?n na bhool pao gay? Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?!

ﺧﺪﺍ ﻧﮯﺻﺒﺮ ﮐﺮﻧﮯﮐﯽ ﺗﻮﻓﯿﻖ ﮨﻤﯿﮟ ﺑﺨﺸﯽ ﮨﮯ
ﺍﺭﮮ ﺟﯽ ﺑﮭﺮ ﮐﮯ ﺗﺮﭘﺎﺅ ﺷﮑﺎﯾﺖ ﮐﻮﻥ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ۔

Saalgirah ka card mila hai mujh ko uski beti ka Khushi k is moqay per us ne ik ruqa bhi likha hai “Aap please, zaroor aain aur achi si ik nazam Meri beti ki khatir likh la’in Nazam tarannum se parhiye ga Jaisy dard ki lay mein doob k apni ghazal’ain parhty they” Tab se ab tak soch raha hoon Nazam likhu’n ya apni zinda nazam ki ungli pakray Is taqreeb mein jaon Us se mil k kahu’n lo dekho! Tameel irshad to meine kar di hai Lekin ye meri nazam nahi mera beta hai. . !

Wo zinda zaror hai Magar meray liye nahi Agar wo pehly wala zinda hota To yon na krta Mujhy Zamaney mein ruswa Mein ney kia kuch na kiya tha Is ki khatir Isay paney key liye Mein ney sub kuch To ganwa dia tha Ab meray pas Is key siwa Reh bhi kia gaya tha Jab isay Ye mehsos hoa Key Meray siwa us ka Zamaney mein koi nahi To In muhabbat’on key badley Mein Is ney mujhy kia dia Wohi ruswai Wo mujhy chor Kr Chla gya Aur mery samney Kisi aur ka ho gya Aur Meray mathey Per likh Kr chala gya Wohi Dagh-e-ruswai

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey Roshni chahiye lekin isi ik skauk mai ham Ghar ko sholo?n k hawaley to nahi kar saktey Noor ki rah mai deewar utthane waley Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad Guftugu pao?n k chhaley to nahi kar saktey Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par Yoo?n kabhi chahney waley to nahi kar saktey Bad ghuma?n ham se hain kutch laug to majboor hain ham Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey?!!!

GALTI MERI THI” Usne mujhe chaha hi nahi’ Main chahat samajh bethi. . “GALTI MERI THI” . Uski pal bhar ki muskurahat ko piyar samjh baithi . “GALTI MERI THI” . Wo to har baat par haan karta tha Main hi iqraR samjh baithi . “GALTI MERI THI” . Usne mujhse ziyada ehmiyat di mere doston ko Main uski ye ada mazakh samjh baithi . “GALTI MERI THI” . Usne kaha bhi tha koi or hai meri zindagi mE Main hi khud ko uski zindagi samajh baithi . “GALTI MERI THI’

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya Kaanton se bhar dete hain log daaman Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya Kabhi na maangen ga kisi se bheek Mohabbat ki Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya zindagi teri rah main shab-e-arzo teri chah may jo ojar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh kay bhi door tha wahi aik gulaab umeed ka meri shakh-e- jaan pay khila nahi

Larkiyo! Muhabbat key khawab dekhti kiun ho.? Tum ko kiya nahi maloom? Khawab dekhney wali jo bhi ankh hoti hai Wo udas rehti hai, wo naras rehti hai Ankh key darech’on mein jo bhi charag rakhtey hein Bad-guman raat’on ka zaiqa wo chaktey hein Un key dil ki rah’ein bhi be-nishan rehti hein Be-aman rehti hein Un key ghar key darwazey dastak’on sey anjaney Aur samat’on ki gali ashna si ahhat sey, ajnabi rehti hai Un key sary jewan mein,ik kami si rehti hai Larkiyo! Muhabbat key khawab dekhti kiun ho.? Tum ko kiya nahi maloom?

Tujhay Ishq Ho Khuda Karay Tujhay Us Say Koi Juda Karay Taire Hoont Hansna Bhool Jaain Taire Aankh Pur-Num Raha Karay To Us Ki Baatain Kya Karay To Us Ki Baatain Suna Karay Usay Daikh Kar To Ruk Jae Wo Nazar Jhuka Kar Mila Karay Tujhay Dosti Bhi Na Raas Aae To Tanha Tanha Phira Karay Tujhay Hijar Ki Wo Jhari Lagay To Milan Ki Har Pal Dua Karay Taire Khuwaab Bikhrain Toot Kar To Kirchi Kirchi Chuna Karay To Gali Gali Sada Karay To Nagar Nagar Phira Karay Tujhay Ishq Per Phir Yaqeen Ho Usay Tasbiyoon Per Gina Karay Phir Main Kahoon Ishq Dhoong Hai To Nahi Nahi Kya Karay