Gulab’on ko kabhi chuna kabhi khushbo ban jana Aur ankh’on key mundair’on per Chamaktey jugno’on ko wasal ki tasweer dikhlana Aur is mein gum sa ho jana Agarchey khawab tha lekin hum’ein tabeer lagta tha

Tu ny jo kaha tha ky mjhy bhool jao mery samny ainda zindagi mein mat ana mjhy panay ka khuwab zindagi sy nikal daina tjhy bhool jany pr mera khod pr ikhtiyar nahi hai ye dunia chor dun ga hamesha ki trha mein tera maan nahi tor’on ga

Wo kaha karta tha Jab Mein tujhy bhoolunga To wo din zindagi ka Akhri din ho ga Us raat taaray Na chamkaingy Us subha Suraj na Nikley ga Wo kaha karta tha Meri har Saans se Tu wabasta hai Aaj jab us Ne rasta badla Tou Yaad aya Wo kaha karta tha

ungli pakar chalna sikhaya tha jinko qadam unse mila ke chalna mahaal hogaya shikayat yahi rahi hogi maa baap ki mere bhi mujhse kaash is ehsaas ne us waqt jagaya hota aj jis dard se mein guzar raha hoon maa baap ka wo dard mitaya hota ….

Tujhy kia malum ye kia cheez hai Jis ki nahi us sey pocho maa kia cheez hai Tujhy to aurha deti hai raat ko kambal Jis ki nahi us sey pocho sardi kia cheez hai Us ka rutba hisab’on mein nahi ata Ye to khuda bhi nahi janta maa kia cheez hai

Door Reh kar kareeb kitnay thay, Faslay bhi Ajeeb kitnay thay, Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna, Is jahan mein Tabeb kitnay thay, Umer bhar Sath jo raha Tere, Us k Achay Naseb kitnay thay, Kyun na Aai me Tere sapno mein, Mere Shikway Ajeeb kitnay thay..!!

Uljhy to talkhiyon ki b hadd se guzar gaye tooty to kirchiyon ki b hadd se guzar gaye nafrat hui kisi se to be-intiha hui chaha kisi ko to chahton ki b hadd se guzar gaye hum ne khuda se kuch b na manga magar osy manga to siskiyon ki b hadd se guzar gaye

Aa bhii jaao kii zindagii kam hai tum nahi ho to har Khushii kam hai vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahi shahar mein aaj raushanii kam hai jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko dhuup ziyaadaa hai chandani kam hai ainaa dekh kar Khayaal aayaa aaj kal un kii dostii kam hai

Hawas jab dil mein apna ghar bana leti hai Hawas jab fikr ki matti mein, Apna sir utha leti hai Hawas ko zindagi mehvar kisi pal bhi banati hai Hawas chaaro’n taraf ik aag si jis per lagati hai hawas jab jeet ko sir per sajati hai usi lamhay MUHABBAT HAAR JATI HAI. . !

Hamara dosh hai mana Tum’hein apna jo hai jana Tumharey bin ye jewan marg jesa hai Hum’ein janat ka har gosha bhi goya narm jesa hai Haqeqat mein agar socho Muhabbat mein ana ka kam hi kia hai Chalo ab man bhi jao Key tum ko hum manatey hein Hum’ein tum sey muhabbat hai

Ek Gulaab Tha Zara Der Ka kOi Khwab Tha, Jo Guzar Gaya Si Guzar Gaya Wo Udaas Dhoop Samait Ker kahin Wadiyo?n Main Utar Gaya Usay Ab Na De Mere Dil Sada Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Ye Safar Bhi Kitna Taveel Hy Yahan Waqt Kitna Qaleel Hy Kahan Laut Ker Koi Aaye Ga o Guzar Gaya So Guzar Gaya ?!!

“Jab Udaas Ho To GungUna Lene Mujhe, Jab Tumhara Koi Na Bane To Apna Bana Lena Mujhe, Kabhi Agar Socho K Tum Se Ziyada Tumhe Kon Chahta Hai, To Apne Naam K Sath Phir Se Dohra Lena Mujhe, Hasne K Liye To Mil JAengy HAzaroo Tumko, Jab Rone K LIye Na Mile Koi Kandha To Bula Lena Mujhe…..

Lakh roshan ho’n, andhero’n se guzarna bhi to hai Charhte suraj ko samandar mai utarna bhi to hai Tum jo khush ho meri raho’n mai bicha kar kantey Inhi raho’n se kabhi tum ko guzarna bhi to hai Ham kisi aur k ho’n jayain to heirat kaisi Tum ne jo zakhm diye hain unhe bharna bhi to hai

Mujah ek bar keh dou bass Tumhain mujh sai mohabbat hai Main sari umar ki apni mohabbat ka Sila is ko samajh loun ga Yeh baqi zindagi sari betanai ko Mohabbat ka woh ek lamha hi kafi hai K Jis lamhai tumhain izhar karna hai Tum in sadiyoun sai us lamhai ko chun laina Main is lamhai main sadiyoun ko samoon doun ga..

Na jenay ki khushi na marnay ka gham hua hai Bs tery sath chalny ka shouq hua hai Mara mara phirta hai in galiyon main Jisy tm ny apny shehr sy be-dakhal kai hai Kal mili thi wo raat ko khoab main Kehti hai bicharny ka tajrba kesa hwa hai Khoon ky ansoo rota hai raton ko jo Suna hai isy tum sy muhabbat nahi ishq hwa hai