Mein aaj boht udaas hoon koi nahi Jis dil se veerani baant saku’n Koi nahi Jo mery behtay aansuo’n ko rok sakay Koi nahi Jo ik zara harf-e-tasalli de koi nahi Jo muskura k kahay “Apni hasaas aankho’n ko takleef na de” Ye moti merey dil pe girty hain Koi nahi Agar hai tou bolta kyun nahi hai. . !

Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai Her sou teri yaad bikherti daikhi hai Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai Dil ke gehray sannatay main raaton ko Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi Hum ne apni aankhon merti dekhi hai ( Farhat Abbas Shah)

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai, Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai, MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut, Har pal mili mujhe dard se ruswai hai, Halat-e-dil kaise bataon main tumhe, Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai, Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain, Kyun pyar mein ki tune bewafai hai

Mujh se ye log kehtay hain Kahan DiL chhor aaye ho? Bohat chup chaap …rehtay ho Na bantay na sanwartay Ho Na koi baat kartay ho Bhari Mehfil mein bhi aksar Hamesha khoye rehtay ho Uddasi aankhon mein le kar har ik chehray ko tuktay ho koi jab yaad aata hai Tu Thandi aah bhartay hoTu khul kar Q nahi kehtay kisi ko yad kartay ho….

Kabhi Tmhara Dil Udaas Ho Qayas Krna k Pass Main Hoon Kbhi Kisi Ki Kami Lage Tou Qayas Krna k Pass Main Hoon Tmhare Apne Jo Duur Bethe Tmhari Nazrai?n Utarte Hyn Jo Tum Na Un Ko Qareeb Pao Tou Qayas Krna k Pass Main Hoon Ye Mera Wada Bhi Yaad Rkhna k Main Na Tum Ko Bhula Sakonga Jo Tum Bhi Mujh ko Bhula Na Pao Tou Qayas Krna k Pass Main Hoon

Tum keh daina koi khaas nahee?n?! Koi tum say poochay kaun hoo?n mai?n? Tum keh daina koi khaas nahee?n? Ek daust hay kacha pakka sa? Ek jhoot hay aadha sacha sa? Jazbaat ko dhaa?npay ek parda? Bas ek bahaana acha sa? Jeevan ka aisa saathi hay? Jo door na ho kar pass nahee?n? Koi tum say poochay kaun hoo?n mai?n? Tum keh daina koi khaas nahee?n?!

Muhabbat hadisa hai Hadsy sey bach nikalney ki Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao Jisey hum hadsa kehtay hein Jewan ko ghari bhar mein Mita ker khak kerta hai Koi ilzam dharta hai Kabhi maazori’on key jal mein qaidi Bana ker chor deta hai Muhabbat hadsa hai Hadsy sey bach nikalney ki Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao

Aj us ki yaad na hamain tarpaya buht Aj na chahtay huay bhi wo yaad aae buht Us k baad to jaisay weshatoon s doosti ho gaye Phir kyun tanhayion ny aaj daraya buht W0 meri the Meri hai Meri rahayge Yah soch k dil ko behlaya buht Shama k jalnay pay afsoos karain kyun Hum ny jis kisi ko bhi hamdard samjha wo najanay kyun hamary dard pay muskuraya buht.

Mein aaj bohat udas hon Koi nahi Jis sey dil ki werani bant sak’on Koi nahi’en Jo meray behtay ansoo’on ko rok sakey Koi nai’en Jo ik zara harf-e-tasali dey Koi nahi’en Jo muskura key kahey Apni hasas ankh’on ko takleef dey Ye moti meray dil pey girtey hein Koi nahi’en Agar hai to bolta kiun nahi’en hai

Ibtadaae ishq hai rota hai kya, Aage aage dekhiye hota hai kya. Qafile mein subah ke ek shor hai, Yaani ghaafil ham chale sota hai kya. Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin, Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya. Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin, Daagh chhaati ke abas dhota hai kya. Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz, Mir isko raigaan khota hai kya

Main udas rasta hon tutey sapno ka, Mujhe ahaton ki talash hay, ye sitare hain sab bujhe bujhe, muje jugnoo ki talash hay her khushi hy mujh se khafa mujhe zindagi ki talash hay ek hojoom sa hy rawa dawan mujhe doston ki talash hay meri zindgi hay ek rasta mujhe manzilon ki talash hay na jane kia hay jo kho gaya hay mujhe shyd apni hi talash hai……..

Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai Teri yaad jo aati hai to kuch aaisi aada hoti hai Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai Ab ya duniya meri muha veeran si lagti hai Khushboo teri na hoti hai na teri sada hoti hai Jis desh bhi jao tum woh desh tumhara ho Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai?!!

Main Logo’n Se Mulaqato’n K Lamhy Yaad Rakhta Hoon Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe Jin Logo’n Ki Parti Hyn Nigaho’n k Hawaly Se Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon Zara Sa Hut k Chalta Hoon Zamany Ki Riwa’yat Se K Jin Pe Bojh Main Daalo’n Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Mumkin hai. . ! Tum chahat k harf k ander Laakho’n maani akhaz karo aur khud us ka inkaar bhi kar do Mumkin hai us lafz ki taqat tum ko be-bas kar de jana’n! Aur tum dil k tanha, andhay, ghaar mein khud ko paa kar yak dum Chahat ka iqraar bhi kar do Lekin kon zamanat de ga? Tum ne kab asbaat se pehly, naa ki thi Tum ne kab inkaar se pehlay, haan likhi thi?

Ab yad dilaye kon tmhen ye saal b akhir beet gya wo sard hawaen ab b hain rangeen fizaen ab b hain wo bheegi bheegi pani ki pur shoor sadaen ab b hain main ab b odhar ko jata hun jab tum nahin hoty sath mery hoty hain khali hath mery pur shoor sadaen pujhti hain wo sard hawaen pujhti hain wo kahan gya hai dost tera wo kahan gya hai Meet tera Ya phir ye Zamana Jeet gya