Dil Ne Tere Pyar Par Majbor Mujhe Kar Diya Is Jahan Ki Har Khushi Se Duur Mujhe Kar Diya Jis Qadar Chaha Tha Dil Ne Paas Tere Aane Ka Us Qadar Dunya Ne Tujh Ko Duur Mujh Se Kar Diya

Muhabbat rait jesi hai. . ! kisi bhi band muthi mein magar ye bhi haqeeqat hai. Achanak be-khayali mein Bina sochay Bina samjhay Yunhi bus be-irada hi Ye muthi khul bhi jati hai. . 1

kaash aesa ho ke ab ke be wafai maiN karoN tu phirey qarya ba qarya ku ba ku mere liye maiN to ho jaoN kisi thehre samndur ki tarah tu bahe darya ba darya ju ba ju mere liye ….

Lafzon ki Justuju mein sub kuch Ganwa dia.. Wo ChaL dia’ Mein Tarz-e-Adaa Dhoondta raha.. Usko Kisi ne RAB se maang liya aur mein.. Sajdey men Gir k Harf-e-Dua dhoondta raha..!

Daraz Palkain Visal Ankhen Musawari Ka Kamal Ankhen Sharab Rab Ne Haram Kar Di To Phir Kyun Rakhi’n Halal Ankhen Hazaron inse Qatal Huay Hain Khuda K Bande Sambhal Ankhen…

kadam thak gaye hai dur nikalna chhor diya hai,, par aisa nahi hai ke maine chalna chhor diya hai.. aaj bhi akele hai duniya ki bheed mai,, par aisa nahi ki maine zamana chhor diya hai..

Kal RAAT Urr rahay thay SITAARAY HAWA kay Saath Aur MEIN UDDASS Baith?ha tha Apnay KHUDA kay Saath Ya to QABOOLIYYAT ka Tareeka Sikha MUJHE Ya MERE DIL ko BAANHD day APNI RAZA kay Saath?!!!

Kitabo’n Mein Rakh Kay Sula Gaya Hum Ko, Aankhein Band Ki Or Bhula Gaya Hum Ko, Ajeeb Musawwir Tha Jo Barisho’n kay Mousam Mein, Kachi Diwaro’n Pay Bana Gaya hum ko….

Tu meray liye hai yaad’on ki surat Tu hai ik janat ki murrat Tu meray sath ho to Mujhy nahi hai kesi ki zarort Tu sarey dukh samet leti hai aulaad key Tu hai maa ik puray jahan ki surat

Daikho tum mjuh sy.. Is bat pr Barham na hona Ky ye har waqt Ka milna theek Nahi hai Lekin Main kia krun Ky in yadon py In khwab’on py Mera ikhteyar nahi hai Tum Is bat pr Brham na hona

Is bat par mjhy tajub hota hai..!! Sari rat jo tum jagty rehty ho Sochty rehty ho Bs baithy baithy Tum Gum rehty ho Ankhon main Wo Surkhi Liye Subha ko college Jatay ho Tum kaisy parhty ho..??

Kis haal mein hain terey sataey huey ghareeb, Tuu ney yeh puchhney kee zehmat kabhi naa kee. Chaha hai jis ko main ney bari shiddaton k sath, Iss tarha uss ney mujh sey mohabbat kabhi naa kee.

Aapas mein baat cheet ki zehmat kiey baghair, Bas chal rahey hain sath shikayat kiey baghair. …Woh ja nahin chuka hai magar is k bavjood, Tanha kharey hain hum usey rukhsat kiey baghair.

Jab har koi thukra de ga Lagta hai tu mujhy apna le ga Tu is be-naam se phool ko Apny aangan mein jaga de ga Mein to jaan boojh kar bhi sookh jaunga K tu mujhy apny hath se paani pila de ga. . !

Is se pehlay k aankh khul jaye Aa k honto’n se meri aankh’on per Koi anmol khuwab likh jao Mera chehra gulaab likh jao Baad mein aa k apny hath’on se Mera jeewan saraab likh jao. .