Chand tasawwur-eer-e-butaa’n, Chand haseeno’n k khutoot. . ! Baad marny k mery ghar se ye samaa’n nikla. . !

Bohat khoob zimedaariyan* hain mujh per warna, Mujhe khayal jahan ka hai, na khof ruswayi ka.. (zimedaariyan;responsibilities)

Hal-e-dil kehnay bari shan sey aaye thay ‘Khumar’.. Ab jo sun’ney ko wo bethay hein to kuch yaad nahi…

Kirnon Ki Bheek Maangti Phirti Hai Khalq-e-Sheher, Ab Waqt Hai Ke Ghar Ko Jala Dena Chahiye, (Khalq-e-Sheher:Residents of City)

Chamakta hai shaheedo’n ka lahu fitrat k parday mein. . ! Shafaq ka husn kia hai phool ki rangee’n qaba kia hai. . !

Taweel mayusi ney himmat past ker di ‘Arzoo’.. Thandi saans’ain le hein bars’on, dil mein ab garmi kahan..!

Baham Rah Kar Agar barh jain, dil k faslay yak dam Bicharr janay ka phir faisla ye kar bhi sakti hai Muhabbat marr Bhi Sakti Hai. !

Usski jafaaao’n ne mujhe tahzeeb sikha di hai Mohsin, Main rote hue so jaaata hoo’n par shikwa nahi karta……

mere mehbob qayamt hogi aj ruswa teri galion min muhbt hogi meri nazrin tu gila krti hain tere dil ko bhi sanam tujh se shikayat hogi

Mat pocho tum is raaz ko hum sey pata nahi kia kia hum is mein band rakhtey hein kia batain logo’n ko hum youn bhi hein pagal tehray

Ye jo guldaan parra hai Mein tery dil mein Iski manid hoon Jab chaha Koorray mein phenk diya Kia sab ko muhabbat mein Yehi kuch milta hai?

Wo tera parda sirka key dekha Wo tera anchal hata key dekha mujh ko kahin pagal na ker dey wo tera ruk ruk key ankh’ain ghuma key dekhna

Dafan hain us k Ghar k sath Qabristan mein, Magar phr bi wo rota hai, Khud hi kaha karta tha k Bana lo Qareeb koi thikana k Milna aasan hojaee

Hum ehl-e-qafas tanha bhi nahi, har roz naseem-e-subha-e-watan Yaado’n se mo’atar aati hai, ashko’n se munawwar jaati hai. . !

Kisi Musafir Ka Kabhi Aitbar Na Karna Dosti Ki HadonKo Kbhi Par Na Krna Kho Doge Use Hmesha K Liye Isliye Jo Achha Lage Use Kabhi Pyar Na Karna.