Giray shabnam k qatray aur bharhi phool’on ki rangeeni Jahan mein raae’gaan koi bhi qurbani nahi jati. . !

Tasweer mein chaley aye ho magar kuch terna sekho.! Tum aksar doop jatey ho meri ankh’on key tofa’n mein..

Jab gulista’n mein baharo’n k qadam aatay hain. . ! Yaad bhoolay huay yaaro’n k karam aatay hain. . !

Chori chori hum tum se aa kar mily thy jis jaga. . ! Muddat’ain guzree’n per ab tak wo thikana yaad hai. . !

Ghani zulfo’n k saye mein chamakta chand sa chehra. . Tujhy dekhoo’n to kuch ratain sohani yaad aati hain. !

Hamain koi tum sa mil jaye ye na-mumkin sahi lekin….. Tumhain bhi hum sa mil jaye mushkil sa lagta hai…!!!~~

Shouq-o-wisal hai yaha’n, lab pe sawal hai yaha’n.!! Kis ki majal hai yaha’n hum sey nazar mila sakey..

Hwain pegam dy gaien k tumhain samandr bula rha hai……, Men bat sari samj giya hon mujy doaon men yad rkhna..!

Roz woh dhaass bandhaa* jata hai tootay dil ki, Yoon woh halaat ko behter nahin honay deta.. (dhaass bandhaa;giving hope)

Yeh kya kam hai key mar janay pe duniya yaad karti hai, Kesi key ishq main duniya lut’ta kar hum bhi dekhain gaye..

Kabhi Yu Bhi Aa Meri Aankho Me Ki, Meri Nazar Ko Khabar Na Ho Tujhe-Bhulane Ki Dua Bhi Mangu, To Meri Dua Me Asar Na Ho !

Roz kha letay hein hastey huay chehr’on sey fareb.. Kiya ker’ein apni nigah’on mein murawat hai bohat.!

Yehi sheher-e-ghum ka naseeb hai, k wo roshni ka naqeeb hai Jo chura gaya hai kiran kiran, jo bujha gaya hai diya diya. . !

Mere zabt ki sab dete hain misaalain lekin, Isi shoq mein insaan se pathar ho geya hoon mein.. (zabt;sacrifice, compromise)

Khawahish’ein kaha’n chain sey rehney dein gi mujhey.! Teray kehney per agar dil-e-nadaa’n chaley….