Sharam ko shirk ki had tak na barha… Youn na chup hum sey khuda ho jesay!

Chehre badal badal kar mil rahe hain log, Itna bura salook meri saadgi ke sath..

maar hi dalta ye zalim zamana humko , hum jo jeete h to jeene ka hunar rakhte hain..

Gar zindagi mein mil gaye tum ittefaq se Poochaingy apna haal teri be-basi se hum. . !

Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa “Jaana” Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna

Jo khushi sabko deta hai Aankhir me wahi rota hai Jo mil na sake umar bhar Kyu pyar usi se hota hai…

Hum tou mukhlis hain aur be-gharz hain aisay ‘Sana’ Kay chott khaingy tujh se, tujhy dua deingy. . !

Arz-e-Matlab Ka Adhura Silsila Rehny Dia Dastan Keh Di Bayan-e-Mud?da Rehny Dia Sirf Itna Yaad Hy Dastak Hui Thi Ek Bar Zindagi bhar Dil Ka Darwaza Khula Rehny Dia

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye Koi majburi hogi to dil tod kar roye Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye

din beet jaate hain suhaani yaade bankar, baatein reh jaati hai kahani bankar, par kuch log hamesha dil ke kareeb rahenge, kabhi muskaan to kabhi aankhon ka paani bankar.

” to uska sath kya mangon! “Zara c umr hy gham se nijaat kya mangon “Wo sath hota to hoti zarurtein b boht … “Akeli jan k liye kainaat kya mangon

Tujhe bhoolne ki koshish mein, Jab dil ye zid pe aa gaya, Main aankh moond ke baith gaya, Tu khayaal pe phir chaa gayi? Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa, Meri nabz Thehr naa jaaye kahin, Tune Waqt kiya mera lamha lamha, Magar maut ko aasaan bana gayi? Meri har daleel ko kiya ansuni, Meri fariyaad bhi to suni nahin, Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu, Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi? Mujhe chaand ki kabhi talab na thi, Mujhe suraj ki bhi fikar nahi, Bas aankh kholna hi chahte the ham, Magar Tu roshni hi bujha gayi? Beshak bhoolna tujhe chaha bahut, Hans kar kabhi, ro kar kabhi, De kar ye aansuon ki saugaat mujhe, Tu daaman apna bacha gayi

Suno, koi rasta batana, Mohabat se wapsi chaahiye..

Khudkushi tak haraam hai yaani, Yeh bhi mumkin nahi ke mar jaao..

Tere jane ke baad kaun rokta humain, Jee bhar ke khud ko barbaad kiya hamne.