Pyaas kehti hai ke ab rait nichorri jaye, Apne hisse me samandar nahi aney wala..

Khazan ka zikar hi kia hai k ae rawash hum ne, Bhari bahar guzari hai gulistan se alag.

Khud se roothoon to kayi roz na khud se boloon, Phir kisi dard ki deewaar se lag kar ro loon..

Samney kitni sabeel’ain hein paye be-gehni.! Aaj lakht-e-dil maryam bhi nahi sath apney..

Chalo acha hua kaam aa gai dewangi apni. . ! Wagarna hum zamanay bhar ko samjhanay kahan jatay. . !

Muflisi hiss-e-latafat ko mita deti hai. . Bhook aadab k saanchay mein nahi’n dhal sakti. . !

Wo dil nawaz hai lekin nazar shanaas nahi’n Mera ilaaj mery charagar kay paas nahi’n. . !

Mujhy tum se nahi milna. . Agar miltay milatay yunhi hanstay hansaatay Yunhi mantay manatay. . Muhabbat Ho Gai TOu Phir?

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu Udas raat ki tanhai me so lu Akele gum ka bojh ab sambhlta nahi Agar tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu…..

Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi Warna Humko Kahan Tum Se Shikayat Hogi Yeh To Bewafa Logo Ki Duniya Hai Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi?

Jab main tumhein nishaat-e-muhabbat na de saka Ghum mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka Jab mere saare charaag-e-tamanna hawaa k hain Jab mere saare khawab kisi bewafa k hain Phir mujhe chahne ka tumhein koi haq nahin Tanha karahne ka tumhein koi haq nahin

Rakhta hai mujay thaam kar, girney nahi deta? Main toot bhi jaon tou bikharney nahi deta. Is darr se kahin kaanta na chub jaye haath mein, Wo phool bhi mujh ko pakarne nahi deta. … Wo is qadar hassaas hai mohabbat mein meri?. K koi bhi ghum meray seenay mein wo palney nahi deta. Jis raat ki tareeki se aata hai mujay khouf? Us din ko phir raat mein wo dhalney nahi deta…

Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain Us dareeche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi sir jhukaye hue chup chaap guzar jate hain Raasta roke khari hai yahi uljhan kub se Koi pooche tu kahein kya ke kidhar jate hain Narm awaz bhali baatein muhazzab lehje Pehli barish mein hi yeh rung utar jate hain Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain Zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain

To tum pat-jahr key pat’on ki sada’ein roz suntey ho? Sada’ein mat kaho in ko, karah’ein hein Karah’on mein chupey ansoo hein aur in mein laho dil ka Magar tum ko kisi bhi dil sey kiya lena Chalo pat-jhar key patt’on ki sada’ein sun to lein tum ney Magar jis dil ko pat-jhar ker diya tum ney Bena sochey, bena samjhey, bena janey Tumh’ein is ‘zard patey’ ki sada’ein ki’yon nahi aati Tum is ka qatal ker key bhi abhi tak shad bethay ho Tumh’ein apney rawaiye per’ tumh’ein is doghley pan per herat nahi hoti? To herat hai To tum pat-jahr key pat’on ki sada’ein roz suntey ho?

ﻣﺤﺒﺖ ﯾﻮﮞ ﺑﮭﯽ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ
ﮨﻤﯿﺸﮧ ﭼﭗ ﺭﮨﺎ ﺟﺎﺋﮯ
ﮐﺒﮭﯽ ﮐﭽﮫ ﻧﮧ ﮐﮩﺎ ﺟﺎﺋﮯ
ﺣﻔﺎﻇﺖ ﺍﯾﺴﮯ ﮐﯽ ﺟﺎﺋﮯ
ﮐﮧ ﺟﯿﺴﮯ ﺭﺍﺯ ﮨﻮ ﮐﻮﺋﯽ
ﮐﺴﯽ ﭘﺮﺳﻮﺯ ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ
ﺟﯿﺴﮯ ﺳﺎﺯ ﮨﻮ ﮐﻮﺋﯽ
ﭼﮭﭙﺎﯾﺎ ﯾﻮﮞ ﺍﺳﮯ ﺟﺎﺋﮯ
ﺟﻮ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ ﺳﯿﭗ ﮐﮯ ﻣﻮﺗﯽ
ﮐﺴﯽ ﮐﯽ ﺑﯿﻮﻓﺎﺋﯽ ﺟﻮ
ﺩﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺧﺎﺭ ﮨﮯ ﺑﻮﺗﯽ
ﮐﻮﺋﯽ ﮐﮧ ﺩﮮ ﺍﺳﮯ ﺟﺎ ﮐﺮ
ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﺍﻧﺪﺍﺯِ ﺍﻟﻔﺖ ﮨﮯ
ﻃﺮﯾﻖِ ﻣﮩﺮ ﭼﺎﮨﺖ ﮨﮯ
ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﺭﻣﺰِ ﻣﺤﺒﺖ ﮨﮯ
ﮐﻮﺋﯽ ﮐﮩﺪﮮ ﺍﺳﮯ ﺟﺎ ﮐﺮ
ﻣﺤﺒﺖ ﯾﻮﮞ ﺑﮭﯽ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ