Kar raha tha ghum-e-jahan ka hisaab Aaj tum yaad be-hisaab aye. .

Ab sahaaron ki baat mat karna, Ab dilaason se bhar geya hai dil..

Ghar ka darwaza khula rakha hai Wakt mil jaye to zehmat karna. . !

Ab to har lamha azaab lagta hai, Tera milna bhi khawab lagta hai..

Zer-e-lab in ki ye hansi anjum.. Jesay khilta hua gulab ka phool.!

Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil! Aap bhi gham zada na ho jana..

Dukh Ki Mazdoori Mujhe Karna Hai, Hai Koi Haath Bataanay Waala ..??

Yaad ka zeher dil main phail geya, Dair kar di usse bhulaane main..

Marna koi mushkil to nahin hai, Jeeney ki magar koi wajah chahiye..

Usey Dunya Mein Tum Jeena Sikhao, Jisey Marne Ki Aadat Ho Gayi Hai..

Toor per chera tha jis ney ap ko.. Wo meri dewangi thi mein na tha.!

Mujhe Apni Zarurat Par Gayi Hai Sunoo, Mujhe Kahin Se Dhoondh Laao..

Yon na parhiye kahen kahen se humen, Hum bhi insan hain kitab nahin.

Zulm hai,qehr hai,qayamt hai.! Gusey mein us key zer-e-lab ki baat..

Haadsey se barra haadsa yeh hua, Log thehrey nahin haadsa dekh kar..