Tu jo roye ga to kya gham na hon ge? Tere rone se magar kuch kam na hon ge..

Uski Adat wohi, her bat Adhoori karna Aur phir Bat ka mafhoom badaltey rehna

Shajar be-saya ho jae’in to samajh … Bicharney ka waqt aa gaya!!

Wo Mujh Mein Ghul Mil Gayi Hai Laikin, Abhee Talak Mujh Se Ajnabi Hai….

Weran hai mekada khom o sakhar udas hain, Tum kia gae k roth gae din bahar k.

Guzaarte waqt ki har chap se me darta hon, Na jane kon sa lamha udas kar jae.

Kitab khol raha tha wo apne mazi ki, Waraq waraq pe bikharta gea mera chehra.

Khalaq ki be khabri hai k meri ruswai, Log muj ko hi sunate hain fasane mere.

Hall nikaala hai yeh udaasi ka, Ab mukammal udaas rehta hoon.. Saadullah Shah

Tu ny bhi khud ko markze alam samjh liya lag hi gai akhir zamany ki hawa tujhe

Tuloo ho gaya soraj,yaqeen nahi ata.! Andhera ankh key andar dikhai deta hai..

Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan, Hum jese zinda hon jo mar jaayen ge..

Batao Hain na, Mery Khawab Jhooty, K jab bi Dehka Tuje Apne sath Dhekha….

Yon hi shab faraq me bus ankh lag gai, Warna hum aisi raat me soe kabhi na the.

Na koi peer na saea na ahtoon ka gaman, Ye justajo ka safar bhi azab jaisa hai.