Zid par wo apni aj bhi qaen to hai magar, Agla sa wo beyan me dam kham nahin hai.

Jaam bhar de takallufaat na kar. . ! Hum faqeero’n se aisi baat na kar. . !

Dabo na de tumhen mojon ka aztarab kahen, Sumandar me talash e geher nahin karna.

Girafta dil hain boht aaj tery deewanay Khuda karay koi tery siwa na pehchanay. .

Zindagi is tara guzri ishq main tabish jaisay pardais main tahvaar guzer jata hay

Apne jesi koi tasveer banani thi mujhe, Mere andar se sabhi rang tumhare nikley..

Shayed isi ka naam mohabbat hai Sheefta, Ik aag si hai seeney ke andar lagi hui..

Hawaa se lipti hui siskiyon se lagta hai, Meri kahani kissi aur ne bhi dohraayi..

Lo ajj hum ne toor dia rishta e umeed, Lo abb kabhi gila na karain ge kisi se hum.

Jo log jaan boojh k nadaan ban gaye. . ! Mera khayal hai k wo insaan ban gaye. . !

Sochata hon k bhuja don me ye kamre ka dia, Apne sae ko bhi kion sath jagaon apne.

Ho Jo Mumkin To Apna Bana Lo Tum, Meri Tanhai Gawah Hai, Mera Apna koi Nahi…

Ye ittefaq hain sab rah ki musafat key, Chalay kesi key lye ja milay kesi k sath..

Aa bhi jao ke aata hai wafaa par ilzaam, Chaandni raat ki ddasti huyi tanhai hai..

Zakhmi huye jo hont to mehsus yeh hua, Chooma tha mene phool ko deewangi ke sath..