Toot jate hain sub lafz o maini ke talism, Be zubani me ajab qowat e goyiai hai.

Guzar hi jaye gi tery baghair bhi lekin Boht udaas, bari be-qarar guzrey gi. . !

Gali gali meri waraftagi k charchay hain Kahan Kahan Mery ehsaas ko chupaogay. .

Sabot hai ye muhabbat ki sada lohi ka.. Jab is ney wada kia hum ney aitbar kia.!

Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein, Pehney pehney sookha gajraa hathon mein..

Diya hai thokron ne sambhalne ka hausla, Har haadsa khayal ko gehraayi de geya..

Ruki ruki si shab-e-marg khatam per aai! Wo poh phati wo nai zindagi nazar aai..

Sham sey hai mujh ko subha-e-gham ki fikar.. Subha sey gham sham-e-tanhai ka hai!

Samandar muztarib hein raat bhar sey…! Na janey kia ugalna chahtey hein ..

Gham-e-hayat preshan na kar sakega muje, Ke aa gya hai hunar muj ko muskurane ka.

is kay jaatay hi ya kia ghar ki soorat na wo dewaar ki soorat hai na dr ki soorat

Zulm meri udasi-e-rukh per na muskura.. Tujh ko bhi is maqam per ana hai ik din.!

Me shab o roz ka hasil use lota don ga, Waqt agar mere khalone muje wapis kar de.

Laon kahan se dhond k me apna humnawa, Khod apne har kheal se takra choka hon me.

Le gaen jane kahan garam hawaen un ko, Phol se log jo daman me saba rakhate hain.