Katoon si chubhti hai Tanhai Angaroon si sulagti hai Tanhai Koi aa kar hum dono ko hunsa de Main rota hoon rone lagti hai Tanhai Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai Main nahi sota sone lagti hai Tanhai Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai

Suno!! Mujhe Har Pal Tumhari Yaad Aati Hai, Kabhi Saanso K Chalne Pe, Kabhi Dil K Machalnay Pe, Kabhi Barish Barasnay Pe, Kabhi Aankhen Chalakne Pe, Kabhi Chanda Nikal Pe, Kabhi Suraj K Dhalne Pe, Kabhi Shab K Andheron Me, Kabhi Din K Sawairon Me, Kabhi Logo K Melay Me, Kabhi Tanha Akele Me, Tumhari, Bus Tumhari Yaad Aati Hai… Suno!! Mujhe Har Pal Tumhari Yaad Aati Hai.

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi ?. Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi ?. Na Jany Kio Sabi Shak Kertay Hain Muj Par ?. Jab Sukha Gulaab Meri Kitabun Main Milta Hi Nahi ?. Kashish Tu Bohat Thi Meray Piyar Main ?. Magar Kiya Keru Koi Pathar Dil Piglta Hi Nahi ?. Ager Khuda Milay Tu Us Se Apna Piyar Mangun Ga ?. Par Suna Hay Wo Marney Se Pehlay Kisi Se Milta Hi Nahi ?.

Itney haseen hatho se mayat saja raha hay koi. Ghame-e- Hayat ka jhagra mita raha hay koi Chaley aao ke duniya se ja raha hy koi Azal se keh do key ruuk jaaye do ghariiii Suna hay ke ane ka wada nibha raha hay koi Woh iss Nazz se bathey han laash ke pass Jasey roothey howe ko mana raha hay koi Palat ker na aa jye sanss pher Nabzon mein Itney haseen hatho se mayat saja raha hay koi

ﻣﺤﺒّﺖ ﮐﮯ ﺳﺎﮮ ﻣﯿﮟ ﺍﺯﺍﺩ ﺭﻩ ﮐﺮ
ﮐﻮﺋﯽ ﮨﻨﺲ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﺭﻭ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ ۔

ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﺳﻨﯽ ﺑﮭﺎﺋﯿﻮﮞ۔
ﺟﻤﻌﮧ ﻣﺒﺎﺭﮎ ۔
ﺩﻋﺎ ﻣﯿﮟ ﯾﺎﺩ ﺭﮐﮭﮯ ۔

yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango apne hi gale k liye talwar na mango gir jaoge tum apne masiha ki nazar se mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi kanton se kabhi phul ki mahkar na mango sach bat pe milta hai sada zahar ka pyala jina hai to phir Jurrat e izhar na mango us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango

Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon Chahatoon kay azaab kia likhoon Apni auqaat se to waqif hoon Khud ko mein maahtaab kia likhoon Kis kay hisse mein aaeen taabeerein Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon Jis ne likha hai zindagi mujh ko Uss kay khat ka jawaab kia likhoon Sadmey pehley bhi seh liye hein magar Ab jo toota ataab kia likhoon Tashnagi to na bujh saki Kitney aaye saraab kia likhoon…!!!

Teri yaad se rishta kal bhi tha teri yaad se rishta aaj bhi hai,, Dil apna dukhta kal bhi tha dil ye udaas aaj bhi hai,, Jo pyar hum tum karte they woh pyar to zinda aaj bhi hai,, Hum bichad gaye is doori mein tum door ho majboori mein,, Kabhi waqt mile to chali ana khula dil ka darwaza aaj bhi hai,, Na sataao, na tadpaao?.. . na mehfil mein yu tanha chodo, Teri yaad me jaage kal bhi they, teri yaad me jaage aaj bhi hain??

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha Dahekti aag thi tanhayi thi fasana tha. Gumon ne baant liya hai mujhe yuon aapes main Ki jaise mai koi loota hua khazana tha. Ye kya ki chand he kadmon pe jhuk ke baith gaye Tumeh to saath mera door tek nibhana tha. Mujhe jo mere lahoo main dabo ke guzra hai Wo koi ger nahin yaar ek purana tha. Khud apne he haath se ‘Shahzaad’ usko kaat diya Ki jis taref pahle ye aashiyaana tha.

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin. Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin. Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain. Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin. Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega. Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin. Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha. Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin. Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin. Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin?

Dil hai yun muztarib makano’n mein Machliya’n jaisy martabano’n mein Dhoop se dhoondtay hain raah-e-faraar Log sheeshay k saibano’n mein. . Teri aamad pe jaisy laut aya Wakt guzray huay zamano’n mein. . Dil dharakta hai har sitaray ka Aaj ki raat aasmano’n mein. . Zang aalood ho gaye jazbay Jam gaye harf, sard-khano’n mein. . Reshami log dhoondtay hain hum Sheher k aahni makano’n mein. . !

Suno tum lout aao na wo dekho chand nikla hai sitaare jagmgaane lage hain hamari muntazir ankhain dua mangti hain tumhain he sochti ankhain tumhain he dhundti ankhain tumhain wapis bulati hain yeh dil jab bhi dhadkta hai tumhara he naam leta hai yeh ansu jab bhi behte hain tumhare dukh main behte hain k barish jab bhi hoti hai tumhain he yad karti hai khushi koi jo aye bhi tumhare bin adhuri hai suno tum lout aao na suno tum lout aao na

Ansoo her khushi or ghum mein insaan ka saath detein hein, Ansoo? bahane se dil ka boejh halka hota hai, Ansoo? khushi ke moqe per bhi nikle ate hein or khshi ka izhaar karte hein, Ansoo? dost bichRne per ankhoun se moteoun ki tarah behne lagte hein, Ansoo? se pyar karo kiun ke yeh bin mange mil jate hein dard kitne hain bata nahi sakta zakhm kitne hain dikha nhai sakta ankhon se samjh sako to samjh lo ansoon gire hain kitne gina nahi sakta

Muhabbat sirf lifazi nahi, ye is se barh kar bhi boht kuch hai Muhabbat hai chubhan dil ki. . ! kisi ko kab, kahan ye raas hoti hai Magar phir bhi Muhabbat khaas hoti hai Musalsal intehaa’n hai ye Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar Nateejay ki kabhi parwa nahi karty muhabbat dard hoti hai magar ye khud bht be-dard hoti hai Bicharna hi agar likha hai muqaddar mein Tou is mein dair kahay ki? Chalo is pal isi lamhay bichartay hain . . !