Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata, Wo yar hamara kaisa hai? Jo bhool gaya hum ko kab se, Wo jaan se pyara kaisa hai ? Kia us ko jeewan lamho mein, Koi lamha mera baqi hai ? Kia uski jaagti aankhon main, Meri yaad se phaili udasi hai ? Kia wo bhi meri tarah yun hi, Shab bhar jaga kerta hai ? Kia wo bhi saya-e-rehmat main, Hamain RAB se manga karta hai ? Agar aisa nahi to tu hi bata, Hum yaad use Kion kertay hain ? Wo humse bicher ker khush hai agar, To hum pal pal kion marte hain ?

Your Comment Comment Head Icon

Login