Ye meri gazalen ye meri nazmen tamam teri hikayaten hainye tazkiren teri lutf ke hain ye sher teri shikayaten hainmain sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ke s’aten hainjo zindagi ke naye safar mein tujhe kisi roz yaad aayento ek ek harf jee uthega pahan ke anfas ke qabayenudas tanahaiyon ke lamhon mein nach uthengi ye apasarayenmujhe teri dard ke alava bhi aur dukh the, ye janata hunhazar gham the jo zindagi ke talash mein the, ye janata hunmujhe khabar hai ki teri aanchal mein dard ke ret chanata hunmagar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rangehina bani haiye zakhm gulzar ban gaye hain ye aahensozan ghata bani haiye dard maujesaba hua hai ye aag dil ke sada bani haiaur ab ye sari mataehasti ye phul ye zakhm sab tere hainye dukh ke nauhe ye sukh ke naghmay jo kal mere the wo ab tere hainjo teri qurbat teri judai mein kat gaye rozoshab tere hainwo tera shayar tera muganni wo jis ke baten ajeeb si thiwo jis ke andaz khusrovana the aur adayen garib si thinwo jis ke jine ke khvahishen bhi khud us ke apne nasib si thinna puch us ka ki wo divana bahut dinon ka ujad chuka haiwo kohakan to nahi tha lekin kadi chattanon se lad chuka haiwo thak chuka hai aur us ka tesha usi ke sine mein gad chuka hai Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz

Your Comment Comment Head Icon

Login