Maine Hi Seekhaya Tha Usse Teer Chalana; Ab Mere Siwa Uss Ka Koi Nishaana Bhi Nahi

Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Elhaada Kar Liye; Aj Bhi Roya Toh Mere Sath Woh Roya Na Tha

Dilon Ko Fikr-e-Do-Alam Se Kar Diya Aazad; Tere Junoon Ka Khuda Silsila Daraaz Kare

Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya; Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gham Rozgaar Ke

Marne Ka Tere Ishq Mein Iraada Bhi Nahi Hai; Hai Ishq Magar Itna Jyada Bhi Nahi Hai

Kya Jaaniye Kya Hai Tere Bimaar Ki Haalat; Isa Bhi Yeh Kehte Hain Ke Hai Waqt Dua Ka

Safar Mein Koi Kisi Ke Liye Theharta Nahi; Na Mud Ke Dekha Kabhi Sahilon Ko Dariya Ne

Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Waale; Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale

Baat Karte Hain Khushi Kee To Ek Ranj Ke Sath; Woh Hansate Bhi Hain Ke Rula Dete Hain

Aankhein Bhi Haye Naza Mein Apni Badal Gayi; Sach Hai Ki Bekasi Mein Koi Aashna Nahin

Kaise Kahe Ki Usko Bhi Humse Hai Koi Vaasta; Usne To Humse Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya

Bane Hain Ahal-E-Hawas Muddai Bhi Munsif Bhi; Kise Vakeel Karein Kisse Munsifi Chaahen

Dil Kee Baat Ko Juban Se Kehna Nahi Aata; Khafa Hona To Aata Hai Khafa Rehna Nahi Aata

Na Gul Khile Hain Na Un Se Mile Na Mai Pee Hai; Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai

Meri Wafa Ki Gawahi Toh Sitare Bhi Dete Hain; Par Mere Chaand Ko Aaya Nahi Aitbar Mera