Uttah Kar Dil Mera Ushne Pathar Pe De Mara; Main Kehta Hi Reh Gya Dekho Ish Mein Tum Ho

Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke Tu Kya Hai ; Tumhee Kaho Ke Yeh Andaaz-e-Guftgoo Kya Hai

Mere Haq Mein To Nahin Taaron Ki Basti Achhi; Iss Bulandi Se Zameen Walon Ki Pasti Achi

Ki Humse Wafaa Toh Gair Usko Jafa Kehte Hain; Hoti Aayi Hai Ki Acchi Ko Buri Kehte Hain

Phool Chahe The Magar Hath Mein Aaye Pathar; Humne Aghosh-e-Mohabbat Mein Sulaye Patha

Wohi Ahal-e-Karwan Hain Wohi Be Hisi Ka Alam; Na Kisi Ko Manzil Na Gham-e-Shikasta Pani

Humi Ne Tark-e-Taluq Main Pehel Ki Ke Faraz; Woh Chahtaa Tha Magar Hauslaa Na Tha Us Ka

Yahan Kisi Ko Bhi Kuch Hasb-e-Aarzoo Na Mila; Kisi Ko Hum Na Mile Aur Hum Ko Tu Na Mila

Guzar Geya Wo Waqt Jab Tere Talabgaar The Hum; Ab Khuda Bhi Ban Jao To Sajda Na Karenge

Phir Aaj Ashk Se Ankhon Mein Kyun Hain Aye Hue; Guzar Gya Hai Zamaana Tujhe Bhulaaye Hue

Woh Aate Hain Khwabo n Mein Yunhi Bin Bulaye; Aisa Hi Kuchh Shikwa Hamare Dil Ko Bhi Hai

Tumhein Jafa Se Na Yun Baaz Aana Chahiye Tha; Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha

Hum Bhi Ek Sham Bahut Uljhe Hue The Khud Mein; Ek Sham Usko Bhi Haalat Ne Mohlat Nahin Di

Mujhe To Gham Tha Us Ke Bicharrne Ka Magar; Woh Hath Malta Raha Umar Bhar Ganwaa Ke Mujhe

Baat To Kirdar Ki Hoti Hai Ghalib 894; Warna Qad Mein Toh Saya Bhi Insan Se Bada Hota Hai