Har waqt Milti Rehti Hain Anjani Si Saza Mujhe; Main Kaise Poochun Taqdir Se Mera Qasoor Kya Hai

Tu Agar Chhod Ke Jaane Kee Zidd Pe Hai To Ja; Jaan Bhi Jism Se Jaati Hai To Kab Puch Ke Jaati Hai

Wo Mohabbaton Ke Saude Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin 894; Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai

Milate Ho Usi Ko Khaak Mein Jo Dil Se Milta Hai; Meri Jaan Chahane Wala Badi Mushkil Se Milta Hai

Bahut Socha Bahut Samjha Bahut Hi Der Tak Parkha; Ki Tanha Ho Ke Jee Lena Mohabbat Se To Behtar Hai

Mit gaye hain sab zakham Bas nishaan baaki reh gaya Saza puri ho gayi Karna gunaah baaki reh gaya

Dekh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pe Iqbal; Jo Lahoo Se Tameer Hue The Paani Se Bah Gaye

Saza Ban Jati Hain Guzre Hue Waqt Ki Yaadein; Najaane Kyun Chhod Jaane Ke Liye Meharban Hote Hain Log

Tu Milke Bhi Na Milaa; Tujhe Pa Ke Bhi Na Paya; Mein Adhuri Reh Gai; Jab Tera Saaya Mujhe Na Nazar Aya

Koi Mil Jaaye Mujhe Tum Jaisa Yeh Na-Mumkin Sahi; Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Yeh Bhi Nahi

Khareeda Jaa Nahin Sakta Hai Saaqi Zarf Rindon Ka; Bahut Sheeshe Pighalte Hain To Ek Paimana Banta Hai

Ghum E Arzo Teri Rah Me Shab E Arzo Teri Chah Me; Jo Ujar Gaya Wo Basa Nahi Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahi

Chaale Jayenge Ek Din Hum Tujhe Tere Haal Pe Chod Kar; Apno Kee Kadaar Kya Hoti Hai Tuje Waqt Sikha Dega

Bin Mangay Hi Mil Jati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz; Koi Khali Hath Reh Jata Hai Hazaaron Duaoon Ke Baad

Kabhi Pathar Se Bhi Takraye To Kharaash Tak Na Aye; Kabhi Ik Baat Hi Se Insaan Toot Ke Bikhar Jatey Hain