Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke; Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai; Sach To Yeh Hai Ki Iss Zamane Mein; Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai

Na Thi Jisko Mere Pyar Ki Kadar; Ittefaaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main; Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko; Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main

Uski Chahat Ne Rulaya Bahut Hai; Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai; Hum Usse Karte Hain Mohabbat Beintehaa; Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai

Vada Karke Nibhana Bhool Jate Hain; Lagakar Aag Bujana Bhool Jate Hain; Ye To Aadat Ho Gayi Hai Unki; Rulate To Hai Par Manana Bhool Jate Hain

Mehfil Mein Mere Zikar Ke Aate Hi Uthe Woh; Ruswa-e-Mohabbat Ka Ye Ezaz To Dekho Meaning: Ruswa-e-Mohabbat = Humiliated In Love Ezaz = Miracle

Jis Ke Liye Sab Kuch Luta Diya Humne; Wo Kehte Hai Unko Bhula Diya Humne; Gaye The Hum Unke Aansu Pochne; Ilzam De Diya Ki Unko Rula Diya Humne

Kehte Hain Woh Majbur Hain Hum; Na Chahte Hue Bhi Door Hain Hum; Chura Lee Hai Unhone Dhadkane Hamari; Phir Bhi Kehte Hain Ki Bekasoor Hain Hum

Kehte Hain Woh Majbur Hain Hum; Na Chahte Hue Bhi Door Hain Hum; Chura Lee Hai Unhone Dhadkane Hamari; Phir Bhi Kehte Hain Ki Bekasoor Hain Hum

Wafa Kee Keemat Lagai Nahi Jati; Humse Apni Chahat Chupayi Nahi Jati; Is Kadar Mohabbat Hai Humein Unse; Ki Unki Khata Bhi Humse Batai Nahi Jati

Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane Wale; Yeh Naale Nahi Be-Asar Jaane Wale; Nahi Jaante Kuch Ki Jaana Kahan Hai; Chale Ja Rahe Hain Magar Jaane Wale

Tanha Hoon Is Dard Mohabbat Mein; Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho; Hum Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal; Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho

Kash Woh Samajhte Is Dil Kee Tadap Ko; To Yun Humein Ruswa Na Kiya Hota; Unki Ye Berukhi Bhi Manzoor Thi Humein; Bas Ek Baar Humein Samjh Liya Hota

Giley Hain Hazaron Ki Badle Ho Kyon Tum; Magar Ab Karein Kyon Gila Ajnabi Se; Azab Hai Neendein Ganwane Ka Silsila; Yeh Acha Nahin Silsila Ajnabi Se

Ek Nazar Bhi Dekhna Gawaara Nahi Usse; Zara Bhi Ehsaas Hamaara Nahi Usse; Wo Sahil Se Dekhte Rahe Dubna Hamaara; Hum Bhi Khuddar The Pukara Nahi Usse

Giley Hain Hazaron Ki Badle Ho Kyon Tum; Magar Ab Karein Kyon Gilaa Ajnabi Se; Azab Hai Neendein Ganwane Ka Silsila; Yeh Acha Nahin Silsila Ajnabi Se