Kitab-e-Ishq Mein Jitne Alfaz Likhe Hain; Dil Mein Mere Utne Ehsaas Rakhe Hain; Tum Keh Kar Dekhte Sitamgar Zalim; Mere Labon Par Kitne Tere Naam Rakhe Hain

Dil Cheer Ke Dekh Tera Hi Naam Hoga; Teri Wafa Teri Sada Tera Payaam Hoga; Aaj Bhari Mehafil Mein Koi Badnaam Hoga; Teri Jafaa Tera Sitam Tujhape Ilzaam Hoga

Wo Mujhe Chaahti Hai Par Apna Nahi Sakti; Mujhe Bhulane Ka Dard Utha Nahi Sakti; Ajeeb Hai Uske Pyaar Ka Ye Andaz Bhi; Khafa To Karti Hai Par Manaa Nahi Sakti

Badalte Iss Zamane Ne Sab Ko Badal Dala; Khwabon Aur Khyalon Ko Bhi Badal Dala; Na Badal Saka Us Bewafa Ko Pyaar Mera; Jiske Liye Humne Apne Aap Ko Badal Dala

Chaman Se Bichhda Hua Ek Gulab Hoon; Main Khud Apni Tabaahi Ka Jawaab Hoon; Yun Nigahein Na Fer Mujhse Mere Sanam; Main Teri Chahaton Mein Hi Hua Barbaad Hoon

Waada Kar Lete Hein Nibhaana Bhul Jaate Hein; Lagakar Aag Bhujana Bhul Jaate Hein; Yeh To Aadat Ho Gaye Ab Unki Roz; Ke Rulaate Hein Aur Manana Bhul Jaate Hein

Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Di; Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe; Kya Umeedein Bandh Kar Aaya Tha Samne; Ush Ne To Aankh Bhar Ke Dekha Nahi Mujhe

Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega; Magar Tumhaari Tarah Kaun Mujhe Chahega; Tumhen Zaruur Koi Chahaton Se Dekhega; Magar Vo Aankhein Hamari Kahaan Se Layega

Karta Raha Fareb Koi Saadgi Ke Saath; Itna Bada Mazaak Meri Zindagi Ke Saath; Shaayad Mili Saza Mujhe Is Jurm Ki; Ho Gaya Tha Jo Pyaar Mujhe Ek Ajnabi Ke Saath

Kisi Ke Dil Mein Basna Bura To Nahi; Kisi Ko Dil Mein Basana Khata To Nahi; Hain Ye Zamane Ki Nazar Me Bura To Kya Hua; Zamane Wale Bhi Insaan Hai Khuda To Nahi

Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega; Magar Kaun Tumhari Tarah Mujh Ko Chahega; Tumhein Zaroor Koi Chahaton Se Dekhega; Magar Wo Aankhein Hamari Kahan Se Layega

Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Dete; Hum Apni Zaat Ka Usko Hisaab Kya Dete; Jo Ek Lafz Ki Khushbo Na Rakh Saka Mehfooz; Hum Ush K Haath Mai Pori Kitaab Kya Deete

Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhe; Pathar Pe Hun Lakeer Mita Dijiye Mujhe; Har Roz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko; Main Kya Hun Aik Baar Bata Dijiye Mujhe

Mohabbat Hum Ne Kee To Ek Khata Ho Gayi; Ki Wafa Aur Zindagi Hi Ab Saza Ho Gayi; Wafa Karte Rahe Hum Ibadaton Kee Tarah; Phir Ibadat Bhi Hamare Liye Ek Gunah Ho Gayi

Khamosh Fiza Thi Saya Bhi Nahi Tha; Is Duniya Mein Unsa Koi Aaya Bhi Nahi Tha; Kis Jurm Mein Cheeni Gai Humse Hamari Hassi; Humne To Kisi Ka Dil Dukhaya Bhi Nahi Tha