Hum Ne Mohbbaton Ke Nashe Mein Aa Kar Use Khuda Bana Dala; Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ki Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota

Jise Khud Se Hi Nahin Furstein; Jise Khayal Apne Kamaal Ka; Useh Kya Khabar Mere Shaunq Ki; Useh Kya Pata Mere Haal Ka

Jaane Do Abb Iss Gusse Ko; Ishq Ko Toh Bhi Nibhaana Hai Gussa Hai Aggar Aashiq Pe; Toh Kabr Mein Kyun Isse Lajaana Hai

Husn Bhi Tha Kashish Bhi Thi; Andaaz Bhi Tha Naqab Bhi Tha; Heya Bhi Thi Pyaar Bhi Tha; Aggar Kuchh Na Tha To Bass Ikra

Shor Hai Hungaama Araayi Hai; Zindagi Tu Kahaan Le Aayi Hai; Nafsa Nafsi Ka Ajeeb Aalam Hai; Bheed Hai Magar Tanhaai Hai

Jise Naseeb Ho Roz-e-Seah Mera Sa; Woh Shakhs Din Na Kahe Raat Ko Tou Kyonkar Ho Translation: Roz-e-Seah = Day Is Black

Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain; Kyun Na Ab Doosron Se Pyar Krain; Tu Kabi Waqt Par Nahi Pahuncha; Kis Tarah Tera Aitbar Krain

Hum Ne Waqt Se Bahut Wafa Kee Lekin; Waqt Humse Bewafai Kar Geya; Kuch Humare Naseeb Bure The; Kuch Logon Ka Humse Dil Bhar Geya

Kis Qadar Naadim Hua Hoon Main Bura Keh Kar Usey; Kya Khabar Thi Jaate Jaate Woh Dua De Jaye Ga Translation: Naadim = Feel Guilty

Akhan di benuri changi nahi hundi Sajna kolon doori changi nahi hundi Kade kade tan milya kar Har vele majboori changi nahi hundi

Chand Kaliyan Noshaat Ki Chun Kar; Muddaton Mahv-e-Yaas Rehta Hoon; Tujhse Milna Khushi Ki Baat Sahi; Tujhse Mil Kar Udaas Rehta Hoon

Dil Ke Behlane Kee Tadbeer To Hai; Tu Nahi Hai Teri Tasveer To Hai; Humsafar Chhod Gaye Mujh Ko To Kya; Saath Mere Meri Taqdeer To Hai

Teri Firaaq-o-Arzoo Mein Katt Ti Rahi Zindagi Meri; Aab Toh Saansey Bhi Bhojh Ban Gayi Ho Jaise Translation: Firaaq-o-Arzoo = Longing

Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai; Un Ka Har Aaib Bhi Zamaane Ko Hunar Lagta Hai Translation: Shajar = Tree Aaib = Weakness

Daad-o-Tahsin Ka Ye Shor Hai Kyon; Hum To Khud Se Kalaam Kar Rahe Hain Meaning: Daad-o-Tahsin = Praise and appreciation Kalaam = Talking