Gham Mujhe Dete Ho Auron Kee Khushi Ke Vaaste; Kyon Bure Bante Ho Tum Nahaq Kisi Ke Vaaste

Samandaron Mein Muaafiq Havaa Chalaata Hai; Jahaaz Khud Nahiin Chalte Khudaa Chalaataa Hai

Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe Hain; Na Gila Hai Doston Ka Na Shikayat-e-Zamana

Tik Bhi Na Mud Key Meri Taraf Tu Ney Ki Nigaah; Ik Umar Teray Pechay Main Zalim Laga Phira

Rail Ki Seeti Mein Kaise Hijr Ki Tamheed Thi; Us Ko Rukhsat Karke Ghar Laute To Andaaza Hua

Badi Hoti Hai Mayoosi Badi Hoti Hai Mayoosi; Bana Kar Hum Ne Naqash Aarzoo Aksar Mita Daala

Na Umeedi ka Main Qaayal To Nahin Hoon Magar; Maine Barsaat Mein Jaltey Huye Ghar Dekhe Hain

Yeh Kya Ke Tujhe Bhi Hai Zamaney Se Shikayat; Yeh Kya Ke Teri Aankh Bhi Pur num Hai Meri Jaan

Ab Wahan Yaadon Ka Bikhra Hua Malba Hi Toh Hai; Jis Jagah Ishq Ne Buniyad Makaan Ki Rakhi Thi

Kahan Tak Suney Gi Raat Kahan Tak Sunayen Ge Hum; Shikwey Saarey Sabb Aaj Tere Rubaruu Karain

Jo Teri Muntazir Theen Woh Ankhen Hi Bujh Gayin; Ab Kyun Sajaa Raha Hai Charaaghon Se Shaam Ko

Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolne Wala Hai Qateel; Jis Ke Hathon Mein Qalam Paon Mein Zanjeerein Hain

Bikhri Kitaabein Bheege Auraaq Aur Yeh Tanhai; Kahoon Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi

Jitni Shiddat Se Mujhe Zakham Diye Hain Us Ne; Itni Shidat Se Toh Maine Usey Chahaa Bhi Nhi Tha

Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Khaali Kee Surat Dekh Kar; Jinko Likhna Tha Wo Sab Baatein Zubani Ho Gayi